Bewafa To Bewafa Hai Wo Kisika Bhi Nahi
Jo Mera Na Ho Saka Wo Tera Hoga Jee Nahi.
Kya Milega Mujhse Wo Ab Itni Ruswai Ke Bad
Wo Bhi Sarminda Bahut Hai Meri Raza Bhi Nahi.
Tinke Tinke Bikhra Paya Dhunda Jo Khud Ko Ek Din
Jikra Apna Kahin Na Paya Logo Se Pucha Ek Din
Lehlahate Khet The Aur Unper Sunehri Dhup Thi
Gulshan Ko Bhi Sehra Paya Mudke Jo Dekha Ek Din
Dil-E-Mayush Ko Hathon Se Tham Lo
Daur-E-Gum Hai Jara Sabra Se Kaam Lo.
Dariya-E-Dil Ke Hain Ye Moti Ye Ashq
Inhein Girne Na Do Palkon Pe Tham Lo.
Mere Malik Kyun Mujhe Ishq De Diya Tune ;
Kyu Mere Dil Ko Ye Ehsas De Diya Tune.
Ya Khuda Mujhko Bata Pyar Hua Hi Kyun Tha;
Ye Kaisa Gum Meri Kismat Mein Likh Diya Tune.
Kuch Baat Hi Aisi Hai Nigahon Mein Yaar Ki
Neeyat Hi Nahi Bharti Dil -E- Bekarar Ki
Wo Pehle Pyaar Ki Kashish Wallah
Meri Saanson Mein Thi Khushbu Bahar Ki
Usne Poocha Na Aaj Tak Ke Hal Kya Hoga;
To Gujre Daur Ka Mujhko Malal Kya Hoga .
Abhi Se Thak Gaya Ke Silsila Suru Bhi Nahi;
Subah Aisy Hai To Manzer -E- Sham Kya Hoga .
Ye Barish Kaisi Barish Hai Ye Kaisi Bunda Bandi Hai
Na Aag Bujhe Na Pyas Bujhe Ye Pani Kaisa Pani Hai
Kabhi Aap Hi Batein Karta Hun
Kabhi Ghanton Rahein Takta Hu
Zindagi Jab Tere Bina Hogi
Kya Teri Aarzu Bhi Na Hogi.
Mar Gaya Ger Teri Khatir To Bata
Phir Bhi Hothon Pe Tere Na Hogi.
Gum Hi Gum Hai Is Bedard Jamane Main
Chalke Thoda Lutf Utha Maiykhane Mein.
Dil Shayad Teri Baat Ko Shaqi Maan Bhi Le
Mai To Bus Nakaam Raha Hu Nadaan Ko Samjhane Mein.
Mil Jaye Ger Wo Rah Mein Yaqlakht Kahin Per
Dhadkan Kahin Hoti Hai Aur Nabz Kahin Per.
Is Baat Ki To Dil Ya Nigahon Ko Hai Khaber
Wo Chehra Kahin Hota Hai Aur Aks Kahin Per.