Tum Aaye Gaawn Main Mere Dono Mil Ke Rahenge
Dard -O-Gum Jo Bhi Honge Sab Mil Ke Sahenge
Sundar Si Bashti Hogi Unche Niche Paharon Main
Mithi Mithi Baat Karenge Dono Mil Kar Jaaron Main
Hame Aaj Bhi Hai Aetbaar Tere Pyaar Ka,
Par Ab Wo Lutf Na Raha Tere Deedar Ka.
Hun Patte Hi Jis Shajar Ke Dhokhebaaz,
Kya Intezaar Rahega Use Kisi Bahar Ka.
Aaj Laikh Raha Hu Main Do Alfaaj Kal Chod Is Jahan Ko Chala Jaunga
Thori Si Yaaden Thoda Sa Pyaar Tumhen Ye Dosht Main De Jaunga
Magar Tum Udas Mat Hona Meri Yaad Rahegi Sang Tumhare
Mai Har Janam Lout Ke Ye Dosht Paas Tumhare Chala Aaunga
Pyar To Fir Ek Thandi Hawa Ka Jhoka Hai
Kahan Kisne Is Ko Roka Hai
Badal Jaata Hai Pal Main Ek Mousam Ki Tarah
Milta Sabhi Ko Bas Dhoka Hai
Jaanu’ Kab Tak Hum Youn Sochte Rahenge
Zindagi Ke Saare Sapne Adhure Rahenge
Aao Thaam Lo Preet Ki Dori Kuch Is Tarah
Sukh Dukh Jeevan Ke Milkar Sahenge
Dil Ki Baat Hum Jubaan Tak La Nahi Paate
Aapke Samne Aate Hi Hum Kuch Keh Nahi Paate
Haal Kya Hamara Aapse Kuch Bata Nahi Paate
Pata Nahi Saamne Aapke Hum Sharma Kyon Hai Jaate
Na Rahi Koi Khwahish Ab Jeene Ki,
Kaise Bujhaen Ye Aag Apne Seene Ki.
Teri Surat Aa Jati Hai Saamne,
Jo Koshish Bhi Karta Hun Main Peene Ki.
Naadano ko kya pataa muhabbat kya hoti hai,
Muhabbat karne walo ki kismat kya hoti hai,
Kadam kadam par maut aati hai,
Lamha lamha kayamat hoti hai.
Wafa Ki Thi Umeed Humko Be Wafai Mili
Mahfil Main Baithkar Bhi Tanhai Mili
Humne Samjha Wo Saath Hain Hamare
Jab Mur Ke Dekha To Parchai Mili
Kabhi Woh Yaad Aaye To,
Dil Ka Dard Kagaj Par Utar Dena,
Dard Chupana Mushkil Ho Jaye To,
Aasuon Ko Pal Bhar Baha Dena…
Aye Shayar Yahi To Teri Marzi Thi,
Unki Khooshiyon Mein Apne Gam Bhoola Dena,
Jab Bhi Likha Karta Tha Shayari Kehti Thi,
Us Kamre Ke Kisi Kone Mein Jala Dena..