Ab Jo Aarzoo Hai Woh Aarzoo Hai Teri
Tere Bin To Lagti Hain Ye Saansein Bhi Adhoori
Log Kehte Hai Is Marz Ki Dawa Kyun Nahi Karte
Kaise Kahoon Teri Mohabbat Hi Ab Dawa Hai Meri
Woh Tera Sharma K Nazrein Pher Lena
Aur Phir Kankhiyon Se Chhup K Dekhna Mujhko
Karne Laga Hoon Bas Aarzoo Ab Main Teri
Dhoondta Hoon Maine Saare Jahan Main Tujhko
Dua Hai Khuda Se Mujhe Zindgi Bakhs De
Meri Maut Pe Woh Zar Zar Rote Hai
Dua Hai Khuda Se Oonhe Khushiya De
Kii Ab Woh Har Pal Oodaas Hote Hai
Ja K Ab Koi Haal Nahi Poochhta
Lab Khush Hai Bas Mujhko Yaad Karte Hain
Aankhe Sooji Huyi Raat Bhar So Na Sake
Har Lamhe Mera Khayal Karte Hain
Jab Kii Thi Mohabbat Toh Batlaya Tha Sabne
Sambhal Kar Khelna Log Haar Jaate Hain
Par Mera Kabhi Na Ittefaaq Tha Is Baat Se
Socha Jo Dil Se Khelte Hain Woh Jeet Jaate Hain
Aaj Phir Hum Khud Ko Bacha Na Sake
Aansu Nikle Bahut Par Baha Na Sake
Keh Gaye Woh Sab ,Jo Hum Sun Na Sake
Thi Haqeeqat Jo ,Woh Bata Na Sake
Aaj Phir Se Akele Hai Hum Raah Mein
Apni Raahon K Patthar Hata Na Sake
Kitne Bebas Hai Hum Aaj Jaana Hai Yeh
Hai Khanzar Haathon Main Phir Bhi Lahu Ko Baha Na Sake
Judaai Toh Mohabbat Ki Takdeer Hai
Do Dilon Ko Jo Tode Ye Woh Lakeer Hai
Mohaabat Agar Hai Aaina Khud Ka
To Ye Aaine K Peechhe Ki Tasveer Hai
Sajayi Thi Mehfil Maine Us Akeli Shaam Main
Jab Tanha Tha Dil Uski Yaadon Ke Naam Pe
Saari Khushiyaan Likh Di Maine Uski Taqdeer Main
Mere Saath Mere Aansu Aur Oojde Huye Armaan Thay
Tum Se Tha Jaana Kya Hai Mohabbat
Tum Se Mil Ke Jaise Khud Se Mulaqaat Huyi Thi
Muskuraate Tum To Jaisa Khilta Tha Kamal
Hansi Tumhaari Ek Khilkhilaati Nadi Thi
Hawa Mein Thi Bas Teri Mohabbat Ki Khushboo
Tujhe Dekh Kar Ye Ghatayein Baras Rahi Thi
Dekh Kar Jise Maine Jaana Hai Kya Mohabbat
Woh Pariyon Si Masoom Haan Ek Kali Thi
Shor Sun Kar Bheed Na Laga Dena
Mujhe Jara Tanhayee Main Gujar Jaane Do
Kab Kaha Tha Kii Rona Meri Maut Pe
Muskuraao Yeh Jashn Yehi Tham Jaane Do
Hai Qabool Mujhe Apni Mohabbat Ka Hashra
Haan Sabko Mujhe Bewafa Ka Ilzaam Lagane Do
Main Tha Khamosh Pehle Bhi Aur Aaj Bhi Hoon
Har Haqeeqat Ko Ban K Raaz Dafn Ho Jaane Do
Kehna Chaha Tha Tujhse Ye Haale-Dil Par Tune Izazat Na Di
Mere Aansuon Ne Bhi Mere Dost Mujhse Bagawat Na Ki
Tu Keh K Alvida Nayi Raah Par Chal Padi
Tere Musafir Ne Bhi Apni Zindgi Ki Aakhri Shaam Jii
Har Saans Mein Hai Chhupi Huyi Koi Awaz
Har Saans Kii Aahat Ko Koi Kya Jaane
In Aankhon Main Bas Jagah Hai Toh Nami Kii
In Aankhon K Soonepan Ko Koi Kya Jaane