Maana Ki Har Kisi Pe Hum Bharosa Nahi Karte,
Sach Hai Ye Bhi Ki Hum Dhokha Nahi Karte,
Har Khwaab Rakhte Hain Seene Mein Sahez Kar,
Loot Jaye Agar Phir Bhi To Socha Nahi Karte,
Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.
Kho Gayi Tahazeeb-Insani Insanon Se,
Insaniyat Bhi Insan Khone Lage Hain.
Zindagi Yaadon Pe Basar Kab Talak Hogi,
Yun Charaagon Se Sahar Kab Talak Hogi,
Ek Roz To Tu Bhi Khafa Hoga Mujhse,
Ye Sath Inaayat Ki Nazar Kab Talak Hogi,
Jindagi Ghazal Hoti To Gunguna Leta,
Bhojh Hoti To Kaandhon Pe Utha Leta,
Khabar Manzil Ki Hoti To Dushwaariyan Kya Thi,
Dariya Ki Tarah Raah-E-Guzar To Bana Leta,
Tod Dale Hanthon Ne Sare Choodi Kangna,
Tham Gaya Payal Ka Khan-Khan Khanakna,
Ankh Lagi Ashkon Se Meri Chhalakne,
Laga Dard Dil Ka Bhi Had Se Guzarne,
Agosh-E-Tanhayi Mein Sona Chahata Hoon,
Jeetkar Bhi Sab Khona Chahata Hoon.
Dum Ghut Raha Hai Siskiyon Mein,
Jee Bharke Rona Chahata Hoon.
Aaj Ki Roti Hui Is Raat Pe Mat Jaana,
Waqt Ki Bakhshi Is Saugaat Pe Mat Jaana,
Kuch Saakin Se Vasool Hain Apne Bhi,
Tum Aaj Ke Mere Haalaat Pe Mat Jaana,
Ishq Khala Hai. Dilqash Bala Hai.
Miti’n Hastiya’n Maznu Maahi Si Jispe,
Usi Raaste Pe Ye Saair Chala Hai.
Ishq Khala Hai. Dilqash Bala Hai.
Saji Na Kabhi Apni Khushiyo’n Ki Mahafil,
Aankho’n Mein Aansoo Dard Dil Mein Pala Hai.
Ishq Khala Hai. Dilqash Bala Hai.
Jaise Mere Zehan Mein Zazbaat Na Hon,
Jaise Mere Seene Mein Dil Hi Nahin.
Yun Munh Fer Ke Baitha Hai Mera Yaar,
Jaise Main Uski Dosti Ke Kabil Hi Nahin.
By Sahil Verma
Main Uska Raha, Wo Begana Raha.
Meri Nazro’n Mein Uska Hi Afsana Raha.
Pyar Uski Bewafai Pey Aaya Humesha,
Kuchh Aisa Main Pagal Deewana Raha.
Jalta Raha Door Shamma Se Umrabhar,
Ek Aisa Bhi Yaro’n Parwana Raha.
Kismat Hi Apni Sitamger Rahi,
Ki Nishane Pey Sar Kabhi Sar Pey Nishana Raha.