Dard Aab Yai Aise Mujhse Saha Nahi Jaata
Ajanabi Ban Apano Mei Raha Nahi Jaata
Harek Pal Bit Raha Hai Yugoo Ke Samaan
Apano Ki Aankhoin Mei Nafrat Dekha Nahi Jaata
Rakchhabandhan Ekk Aisa Tyohaar Hain..
Jisake Liye Har Bahan Saalo Bhar Intezaar Karati Hain..
Ye Bhaiyo Bahano Ke Liye Khushi Kaa Pal Hota Hain..
Ye Din Kabhi Mere Liye Dard Ka Kaaran Hota Tha..
Andheri Raat Hain Bahoot Hii Gehari
Ab Tak Dard Kaa Ye Saaya Hain Bani
Ise Dekh Kayi Baar Hui Hoon Udaas
Huye Hai Sabke Ehsaas Alag Fir Bhi
Kitani Aasani Se Keh Diya Tha
Mera Pyaar Ekk Bhool Hain
Mere Armaan,Mere Khwaab
Ye Sab Ekk Bhool Hain
Itani Berahami Se Keh Diya Tha
Haan Aaj Maanati Hoon
Ye Ek Bhool Hi Hai,
Pyaar Se Pyaar Ki Bhaawana
Meri Apani Bhool Hi Hai
Sach Kaha Tha, Jaan Gayi Hoon
Abhii Abhii To Bachpan Ne Hasna Sikha Hain
Abhii Abhii To Chuje Ne Udana Sikha Hain
Saamne Bag Mein Lehlehaate Paudhe
Abhii Abhii Usake Kali Ne Khilana Sikha Hain
Bas Mera Khaali Kona Badhata Jaa Raha Hai
Is Par Se Mera Haq Hatata Jaa Raha Hai
Dar Tha Mujhe Jis Baat Ka Ki Hoga Yehi
Wo Pal Door Se Hi Paas Dikhata Jaa Raha Hai
Achambhit Reh Gayi Aaj Yeh Roop Dekh Kar
Naa Ro Saki, Naa Has Saki Un Baato Ko Sunkar
Khel To Gudde Gudiyo Se Khelate Hain Log
Kaise Khush Rahoge Kisi Ke Dil Se Khelkar?
Kabhii Sukham-Aa-Tisukhsm*
Kahi Nabh Se Bhi Vishaal
Satya Asatya Se Pare
Naa Bane Koi Aur Jaal
Ek Baar Mujhe Bhi Laga Lo Gale Se
Ki Ek Chubhan Bhar Aayi Hai Sine Me
Ek Baar Mujhe Bhi Laga Lo Gale Se
Ki Ek Sapna Pal Raha Hai Aankho Me
Phool Hoti To Masal Dete.
Diya Hoti To Bujha Dete
Hoti Main Baadal,Hawa Ban Uda Dete…
Patthar Jo Hoti Tum Tod Dete