Mujhe Awaz Kabhii Dena Nahii
Mujhko Kabhii Sun-Na Nahii
Hansi Main De Nahii Sakta
Dard ! Hoon Main Zism Ko Tere Zakhm De Sakta Hoon Main.
Kal Ki Toh Baat Thi Kah Uthi Daadi
Mein Sambhali Aur Paas A Baithi
Aaj Shayad Koi Kahani Milegi
Maa Ki Shayad Koi Saheli Milegi
Daadi Nay Dekhi Meri Ankhon Mein Yachna
Woh Bhi Sambhali Aur Pukaar Uthi Archana
Aaj Mein Tujhe Ko Tujhe Say Milaoongi
Aaj Daadi Ki Nahin Nanhi Pari Ki Kahani Sunaoongi
Suntay Hi Mera Chehray Ka Rang Badala
Ankhon Mein Saj Utha Pariyon Ka Mela
Kya Hogi Us Pari Ki Sooraat
Sochti Thi Meri Ankhain Woh Moorat
Hansi Thi Daadi Ki Ankhon Mein Samaayii
Badh Kar Mein Daadi Ki Gaud Mein Samaayii
Pyar Say Tha Mera Maatha Chooma
Daadi Kay Haath Ka Pankha Tha Ghooma
Thandi Hawa Nay Meri Ankhain Moondi
Meinhi Nahin Sang Meri Nindiya Bhi So Di
Sapnon Kay Desh Mein Jhuli Thi Jhula
Bhoola Mujhe Daadi Ka Pankha Bhi Bhula…
Na Kar Kabul Tu Mujhe, Magar Izhaar To Kar
Nahin Tu Humsafar Mera, Ye Inkaar To Kar
Guzre Vaqt Ki Tarah , Tu Na Aayegaa Kabhi
Na Aa Tu Chahe Laut Ke, Jhoota Karaar To Kar
Kya Kami Thi Meray Pyaar Mein,
Jo Wo Saks Mera Na Hua.
Chaha To Bahut Usnay Bhi Mujhay,
Na Janay Phir Ussay Mujh Par Kyun Aitbaar Na Hua.
Hamne Teri Mohobat Ko Khuda Mana Hain
Ab To Maar De Ya Zinda Rakh Ye Tera Afsaana Hain
Teri Khaamosh Berukhi Ko Bhee Hame Seh Jaana Hain
Tu Chahe Rooth Ja Hamse Hamne To Apni Saanso Mein Tujhe Basaya Hain
Jee Karta Hai Teri In Aankhon Mein Kho Jaaye
Aansu Bankar Teri Palkon Ko Bheego Jaaye
Aansu Ye Tere Aaye Bahaar Bankar
Aur Mere Dard Ko Inme Doobo Jaaye