Ham Ranj-O-Gham To Pee Chukay Sachh Gholte Hue
Ab Darte Hain Khud Kee Hi Zubaan Tolte Hue
Kaise Karen Yaqeen Kisi Bhee Yaqeen Kaa
Aankhon Ko Bhee Dekha Hai Jhooth Bolte Hue
Hum Ko Tanhayioon Main Jeenay Do
Chupke Chupke Ye Ashk Peene Do
Apnii Chaahat Ka Mat Sahaaraa Do
Humko Tanha Ye Zakhm Seene Do
Ajab Manzar Hai Bebasi Kabhi Likhne Nahi Deti
Agar Likhu To Hal E Dil Kabhi Likhne Nahi Deti
Bahut Khwaish Hai Likhun Tum Ko Apne Pyaar Ki Batein
Vazah Inkaar Ki Tere Kabhi Likhne Nahi Deti
Pyar Ki Rahe Mein Diwar Uthate Kyon Ho
Khud Ko Duniya Ki Nigao Mein Girate Kyon Ho
Jab Mere Naam,Mere Jikre Se Nafrat Hai Tumhe
Meri Tashveer Ko Fhir Ghar Mein Sajate Kyon Ho
Kudrat Key Karishmon Mein Agar Raat Na Hoti,
Khuawbon Main Bhi Phir Unse Mulakaat Na Hoti
Kuch Lamhe Hi Sahi Par Karar Tho Aata Hai
Unn Lamhon Mein Humme Apne Pe Garoor Aata Hai
Jab Bhi Kisi Nigah Ne Mausam Sajaye Hain,
Tere Labon Ke Phool Bahut Yaad Aaye Hain,
Nikle The Jab Safar Pe To Mehdood Tha Jahan,
Teri Talash Ne Kayi Aalam Dikhaye Hain,