Aksar Apne Kamre Ki Khidki Ke Paas Khade Ho Kar
Main Khoyi Si Rehti Hoon, Kuch Socha Karti Hoon
Moond Kar Apni Palkon Ko Yaad Karti Hoon Tumhe
Aur Dheere Dheere Se Kuch Khwaab Buna Karti Hoon
Aate Jaate Logon Ke Chehron Ko Dekhti Hoon Main
Anjaan Chehro Main Wo Ek Chehra Dhoonda Karti Hoon
Sochte Hue Tumhe Yunhi Nam Ho Jaati Hain Palken Meri
Ankhon Ki Baarish Mein, Main Asksar Bheega Karti Hoon
Phir Tumhara Ishq Mujh Ko Dheere Se Dilaase Deta Hai
Bachon Ki Tarah, Rona Chorh Ke Muskuraya Karti Hoon
Ishq Hai Ya Sanam Ki Ibaadat Ye Nahin Main Jaanti
Haan Bas Dil-O-Jaan Se Main Tumse Mohabbat Karti Hoon