Zindagi Jaise Samundar Ki Lehren
Jaise Saagar Ki Lehron Ka Koi Ant Nahin Hai,
Hamare Dukhon Ka Bhi Koi Ant Nahin Hai
Ek Lehar Ke Baad Doosri Lehar Aa Jaati Hai,
Ek Takleef Khatam Nahin Hoti Ke Doosri Aa Jaati Hai
Zindagi Jaise Raat Mein Chamakte Taare
Jaise Raat Ke Andhere Mein Nikle Taare,
Subah Hote Hi Gayab Ho Jaate Hain,
Kuch Pal Ke Liye Khushi Aati Hai,
Un Taaron Ki Tarah Woh Bhi Gayab Ho Jaati Hai