Zindagi Be-Rang Badi Ab Be-Noor Nazar Aati Hai

Posted on 26 Feb 2012 | Author: | Dard Bhari Shayari, Ghazals & Lyrics

Teri Yaad Aati Hai Aur Aankh Bhar Aati Hai,
Zindagi Be-Rang Badi Ab Be-Noor Nazar Aati Hai,

Sach Hai Ki Jooth Phir Badla Hai Humsafar Tune,
Udi-Udi Si Tere Shahar Se Khabar Aati Hai,

Yun To Raat Ke Baad Subah Hoti Hai Hamesha,
Ab Shab-E-Hizra Hai Dekhoon Kya Sahar Aati Hai,

Aane Wali Har Ghadi Aati Hai Khaali Hath,
Na Jaam Lekar Na Wo Lekar Ke Zehar Aati Hai.

By Sahil Verma

Hindi Version

तेरी याद आती है और आँख भर आती है,

ज़िन्दगी बे-रंग बड़ी अब बे-नूर नज़र आती है,

सच है की जूठ फिर बदला है हमसफ़र तुने,

उडी-उडी सी तेरे शहर से खबर आती है,

यूँ तो रात के बाद सुबह होती है हमेशा,

अब शब्-इ-हिज्र है देखूं क्या सहर आती है,

आने वाली हर घडी आती है खाली हाथ,

न जाम लेकर न वो लेकर के ज़हर आती है।

  ----------------
Hit The Like Button If You Want To Support Us.



Shyari SMS Version

There Is No SMS Version For This Shayri.
Receive Daily Shayari By eMail
Or Send JOIN ShersDotIn To 987O8O7O7O To Receive Shayari In SMS.



2 Responses to "Zindagi Be-Rang Badi Ab Be-Noor Nazar Aati Hai"

  1. Hina Butt says:

    buhtttt khoob …nice

  2. ravi rulhania says:

    waah waah
    mast h yaar
    thanx a lot….

Leave a Reply