Nazrein Takraayi Thi, Mera Haal To Puchha Hota,
Zara Sa Ruk Ke Ek Sawal To Puchha Hota,
Tere Bin Jeena Ek Roz Bhi Mumkin Na Tha,
Kaise Guzra Tere Bin Ye Saal To Puchha Hota,
Jo Reh Gaya Tha Ek Roz Kamre Mein Mere,
Kahan Rakkha Hai Wo Rumaal To Puchha Hota,
Jiss Wafa Ka Tum Roz Kiya Karte The Daava,
Uske Bare Mein Mera Khayal To Puchha Hota,
Bhale Hi Tune Na Puncha Ki “Gyan” Kaise Ho,
Zara Sambhalke Maine Tera Haal To Puchha Hota.
By Gyan Saxena
More Shayari by Gyan Saxena
Wwwwwaaaaaaah waaaah. Kya baat hai gyan ji. Maan gaye. Kya sher kahe hein. Daad qubool kijiye.
Agar mumkin ho to aapki contact details dijiye. Waqai lajawab shayri hai aapki.
Deepak
Jo rah gaya tha ek roz kamre mein mere
Kahan rakkha hai woh rumaal to puncha hota.
Wah kya baat hai. Ek ek sher apne aap mein ek poori kahani hai
Agar koi ghazal singer in lafzon ko apni awaz de de to ek yaadgar gazal ban jayegi. Aise hi likhte rahein gyan sahab.