Yeh To Patah Thaa Tum Ho Musalsal Kaheen Yaheen
Tab Bhi Tumhain Pukaartaa Firaa Hoon Har Kaheen
Yah Kaisee Qaraabat Hai Magar Ay Meyrey Mahboob
Zad Mein Nazar Key Chaah Bhi Paayaa Tumhain Naheen?
Us Ney Kahaa Thaa “Ham Tumhain Un Sey Milaayengeyâ€
Par Raahbar Wo Ham Ko Dobaarah Milaa Naheen
Fir Fusfusaa Rahee Hai Dol Baad-E-Shab-E-Nisf
“Woh Aaj Bhi Yaheen Hai Raheygaa Bhi Kal Yaheenâ€
Har Lamhey Shab-O-Roz Hoon Beytaab Wasl Ko
Wo Koun Se Jagah Hai Ki Khojaa Jahaan Naheen?
Kyoun Lag Rahaa Hai Aaj Mujhey (Sun Rahey Ho Tum?)
In Dharhkanoun Mein Tum Ho: Zamaaney Sey Ho Yaheen
Mein Poochhtaa Rahaa Hoon Tumhaaraa Patah ‘abd’
Par Aaj Tak Kisee Ney Bataayaa Mujhey Naheen