Kisi Ki Yaad Mein Palkain Zara Bhigo Lete
Udaas Raat Ki Tanhaiyon Mein Ro Lete
Dukhon Ka Bojh Akele Nahi Sambhalta Hai
Kahin Woh Milta To Us Se Lipat Ke Ro Lete
Paresaan Tum Nahi Hona
Kabhi Chup Kar Nahi Rona
Judai Zehar Hoti Hai
Mujhe Maaloom Hai Lekin
Woh Jazbon Ki Tijaarat Thi
Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Usse Hasne Ki Aadat Thi
Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Zindagi Mili Kuch Zara Si Thi
Kuch Is Mein Kami Bhi Zara Si Thi
Woh Roz Hote Gaye Paas Se Paas Mere
Lekin Doori Phir Bhi Kuch Zara Si Thi
Ek Pal Bhi Chen Se Guzra Ho To
Qasam Le Lo
Siwaye Yaadon Ke Koi Aur Sahara Ho To
Qasam Le Lo
Mere Aane Se Yun Chup Na Jaya Karo
Saaf Kehdo Ke Mere Ghar Na Aaya Karo
Jab Bhi Barsaat Ho To Rooth Jaati Ho
Tum Aise Mausam Main Dil Na Jalaya Karo
Ek Ghazal Woh Bhi Sunaye To Maza Aayega
Kuch Aansoo Woh Bhi Bahaye To Maza Aayega
Kehdo Sabhi Se Mere Gham Buhat Gehrey Hain
Gar Woh Marham Lagaye To Maza Aayega
Khawaab Mein Aakar Woh Meri Neend Urati Thi Bohat
Har Ghari Woh Mujhko Dekh Kar Muskuraati Thi Bohat
Chor Hi Dena Para Ghabra Kar Us Ke Shehar Ko
Yaad Uski Raat Din Mujhko Rulati Thi Bohat
Darguzar Uski Har Jafa Kardi
Us Ke Haq Mein Aaj Phir Dua Kardi
Ek Lamhay Mein Kho Diya Usko
Jisko Paanay Mein Intehaa Kardi
Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Taqaza Kya Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kya Hai
Mujhko Madhosh Sa Kar Rakha Hai Teri Aankhon Ne
Warna Aae Saqi Tere Maikhane Mein Rakha Kya Hai