Uljhanoan Ki Nazar Zindagani Hoi
Buss Yaheen Se Shuru, Ek Kahaani Hoi
Raz Apni Zaban Se Na Kuchh Keh Sakae
Daekho Mashhur, Ae Be-Zabaani Hoi
Zindagi Mujh Ko Adaakaar Lage
Munch Kaa Ak Kalakaar Lage
Martae Martae Bhee Bhala Aur Kaa Kerjaati Hain
Zindagi Mujh Ko To Autaar Lage
Chubnae Lagi Hain Uski Nazar Baar Baar Ab
Daaman Wafa Kaa Hone Laga Taar Taar Ab
Chand Ak Gum Mile The To Boajhal Thee Zindagi
Hone Lagi Hain Gum Kee Fasal Be-Shumaar Ab
Dasta Saiyaad Main Bulbul Ko Chaman Yaad Aaya
Chaand, Taaroon Sae Bhara, Uss Ko Gagan Yaad Aaya
Shaadmaani Sae Bhara Auroon Kaa Jo Aangan Daekha
Apna Aangan Bhee Tha Kal Rash-Ke-Chaman Yaad Aaya
Boond, Boond Zindagi
Door,Door Her Khushi
Bazm Main Bhi Chup Rahoon
Dae Sukoon Khamoshi
Agar Jo Mano Meri Guzaarish
Tumhari Hogi Badi Nawaazish
Tumharae Hoantoan Pe Zindagi Ho
Tumhari Khushiyaan Hain Maeri Khawahish
Maeri Maiat Ko Sajaana Maerae Merjaanae Ke Baad
Khaana Sab Kuchh, Ghum Na Khaana, Maerae Merjaanae Ke Baad
Zindagi Hai Saath Taerae, Saath Iska Daena Tu
Ker Na Laena, Ghum Bichoana, Maerae Merjaanae Ke Baad
Aankhen Sharaab Khana
Dil Ho Giya Diwaana
Nazroan Ke Teer Kha Ker
Ghaayel Hova Zamaana
Mere Lahu Se Ter Tum, Apna Chaman Na Kerna
Yun Laal Laal Is Ke ,Barg-O-Suman Na Kerna
Uttae Na Shoar Mere,Merne Ke Baad Koi
Maahoal Apnae Ghar Ka,Tum Bud-Aman Na Kerna
Main Aati Rahi Hun Main Aati Rahungi
Mohabbat Ka Moti, Lutaati Rahungi
Sunae Na Sunae ,Koii Maerae Taraanae
Main Naqma-Ae-Ulfat, Sunaati Rahungi