Kai Badnamia’n Hoti , Kai Ilzam Sar Jate,
Magar Ae Kash Hum Dono’n Hamee’n Dono Pe Mar Jate,
Agar Tum Khab Hote To Tumhe Aankho’n Mai Rakkh Lete,
Na Goya Neend Se Phir Jagte Hatta Ke Marr Jate,
Apney Jazbaat Ankh Mein Rakh Lo,
Bus Yehi Baat Ankh Mein Rakh Lo,
Zindagi To Safar Hai Sehra Ka,
Thori Barsaat Ankh Mein Rakh Lo,
Main Apni Soch Ki Har Soch Mein Yehi Sochu’n,
Na Janay Tujh Se Aqeedat Ka Kon Sa Bandhan,
Hai Chahto’n Ka Ta’aluq Ya Dosti Ki Girah,
Ya Koi Rishta-E-Subh-E-Azal Hai Rooho’n Ka,
Maa’n Aik Hi Ehsa’n Ka Jab Badla Chukka Patey Nahi,
Khak Ho Kar Qadmo’n Mein Kyu’n Kar Bikhar Jatey Nahi,
Ya Ghamo’n K Shehriyo’n Se Ab Mere Meesaaq Hain,
Ya Khushi K Basiyo’n Se Ab Mere Naatay Nahi,
Samandar Kya Kare’n Ge Qatra-E-Shabnam Chura Lein,
Jo Mumkin Ho To Zakhm-E-Hijr Ka Marham Chura Lein,
Tumhara Sath Hai To Aik Bus Apna Hi Jeewan Kyun,
Jaha’n Walo’n Ki Sari Umr Aao Hum Chura Lein,