Bedard Zamane Main Mohabbat Naa Karna
Kar Betho To Pane Kee Chahat Naa Karna
Naa Sunega Koi Faryaad Iss Jahan Main
Iss Liye Kabhi Mohabbat Naa Karna
Utha Kay Haath Khuda Say Bas Maangi Yahi Dua,
Naseeb Hon Khushiyan Tumhein Tum Khush Raho Sada,
Tum Ko Rahat Miley , Tum Ko Chahat Miley,
Tumhein Saray Jahan Ki Mohabbat Miley,
Raat Ko Bhee Abhi Yahan Aate Dekha
Khawaab Ko Intezaar Se Baatien Karte Dekha
Tera Aana Mukammil Naa Hua Zindaagi Main
Khwahish Ko Fariyad Badalte Dekha
Aap Ke Ishq Mein Kya Kya Naa Kiya Hain Humne
Yaani Tadpe Bhee Hain Hum, Dum Bhee Diyaa Hain Humne ,
Tere Sab Julm-O-Sitam Sahte Rahen Hans Hans Kar
Khauff-E Ruswaee Se Ashkon Ko Piyaa Hain Humne ,
Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Koi Samjha Nahi, Koi Janaa Nahi
Hai Yeh Kaisi Dagar, Chalte Hai Sub Magar
Koi Samjha Nahi, Koi Janaa Nahi
Zindagi Jaise Ekk Saza Si Ho Gaye Hain,
Gam Ke Sagar Mein Iss Kadar Kho Gayi Hain,
Tum Aajao Wapis Yeh Gujarish Hai Meri
Shayaad Mujhe Tumari Aadat Si Hogayi Hain
Ab To Us Taras Se Bhi Pyaar Hai Humein,
Aansuoon Ke Us Baras Se Bhi Pyaar Hai Humein,
Jisne Kiya Tumhare Dil Ko Thoda Bekrar,
Par Tadpaya Dono Ko Kyu Baar Baar,
Naa Chahte Huye Bhee Pyaar Ho Gaya
Duur Rahte Huye Bhee Pyaar Ho Gaya.
Socha Tha Naa Banain Ge Use Humsafar
Naa Jane Kyon Sarat Rah Iqrar Ho Gaya
Duniya Ne Mari Thoker ,Us Ne Mujhe Uthaya
Sab Ne Hee Jana Lofer Us, Ne Mujhe Banaya
Dunia Ne Bichaye Kaante, Mera Yaar Kaantoon Pe Chal Ke Aaya
Tha Us Ke Pyaar Kaa Saya Jo Main Laut Ke Aaya,
Qasam Di Thi Tum Ne Mujko,
Juda Karo Gi Naa Mujhse Khudko,
Jab Mana Tha Tumne Apna,
Toda Phir Mera Kyun Sapna,