Ham Ranj-O-Gham To Pee Chukay Sachh Gholte Hue
Ab Darte Hain Khud Kee Hi Zubaan Tolte Hue
Kaise Karen Yaqeen Kisi Bhee Yaqeen Kaa
Aankhon Ko Bhee Dekha Hai Jhooth Bolte Hue
Tujhko Bhula Dia Ye Aitbaar Hai Mujhe
Lekin Tere Khaton Ka Intezaar Hai Mujhe
Gaafil Hun Kaynaat Se Phirta Hun Baarhan
Shayad Teri Aankhon Ka Intezaar Hai Mujhe
Zamaane Baad Mujhe Zindagi Dikhi Hain Abhi
Naa Koi Roko Mujhe Zindagi Dikhi Hain Abhi
Mujko Jaane Do Zara Saans Toh Lee Lene Do
Marna Aakhir Toh Hain Ke Maut Bhii Likhi Hain Kabhi
Wo Hamse Kehte Hain Wo Hamko Pehchante Nahin
Wo Kaise Apna Pata Den Hame Wo Jante Nahin
Magar Wo Pehli Dafa Unkii Nazar Hamse Jo Milii
Laga Ke Jante Hain Wo Magar Ye Mante Nahin
Ye Kaisa Zard Zindagi Ke Shaakh Pe Laga Hai
Marham Koi Bhee Jisko Be-Zard Kar Na Paye
Mayus Ho Rahi Hai Her Taar Zindagi Ke
Aur Yaad Ke Gali Me Bas Tu Hi Muskuraaye
Tum Aaye Or Chal Diye Jaise Koi Sazaa Dee
Naa Shukria Main Kar Sakaa Hai Meri Ik Khata Ye
Haathon Mein Mere Kuchh Nahi Ek Bhool Ke Siwaye
Rukhsat Tujhe Kaise Karoon Mujhko Koi Bata De
Main Kar Nahi Sakata Adaa Us Teh Se Tera Shukria
Her Rom Mera Keh Gaya Jo Lafz Mai Naa Kaah Saka
Mai Toh Kabhi Ek Shaks Ko Kehta Nahi Apna Khuda
Par Aaj Tune Joo Dia Toh Ho Gaya Mera Khuda
Dil Mein Yun Dard Na Hota To Zara So Letaa
Raat Bhar Teri Ye Tanhai Sataati To Nahi
Kaun Kehta Hai Ke Aankhon Me Neend Basti Hain
Meri Aankhon Me To Yaadon Ke Siwa Kuchh Bhee Nahi
Itna Bhee Kyaa Purzor Ho Wafa Mein Aap Tum
Ke Ho Chuka Bahut Abhi To Ruth Jao Naa
Ye Maana Ke Paaband Ho Apni Zubaan Se Tum
Hamse Kia Waada Bhee Kabhi To Tod Jao Naa
Sach Aur Jhuth Kisay Kehte Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Raat Ka Saathi Din Ko Bichhda
To Kuchh Baadal Ghir Aaye
Din Aur Raat Kisay Kehtay Hain
Ye Bhee Hamay Maalum Na Thaa
Ghar Ki Yaad Kabhi Jab Aayi
To Bass Maa Ki Yaad Aai