Gumsum Ho Jaate Hai Baadal Roz Garaz Kar
Hum Bhi So Jate Hai Unki Ek Jhalak Ko Taras Kar
Wo Kisi Aur Ke Mahboob Hai Log Kahte Hai
Lahoo Se Naam Likh Hum Muhhbat Parakhte Hai
Woh Mera Tha Ye Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai
Jo Zindagi Mai Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Mein Aana Ajeeb Lagta Hai
Sham Ki Tanhayee Jab Satane Lagi
Aapki Judai Jab Hame Tadpane Lagi
Apne Vicharon Ko Jab Tham Na Saka
Aapke Mohobbat Ke Tarike Jaan Na Saka
Aaya Man Me Mere Ek Khayal
Ke Kaagaz Pe Utaar Doo Apna Ye Haal
Maana Ke Aap Apne Tarike Se, Apne Andaaz Se Pyaar Karte Ho
Mujhse Mohobbat Hai Bhi Ya Nahin, Phir Bhi Rishta Nibhate Ho
Aankho Main Aansu Liye
Dil Mai Jale Arman Liye
Teri Galiyon Se Guzar Jayenge
Ghar Banane Ki Jahan Chah Thi
Zindgi Se Bezaar
Khud Se Ab Ho Chuka Hun Main
Jeene Ki Koi Tamana Nahi
Par Phir Jeeye Jaa Raha Hun Main
Aye Khuda Meri Itni Si Arz Hai
Mujhe Ya To Mila De Mere Yaar Se
Ya Mujhko Bula Le Apne Darbar Mai
Nahi Jiya Jata Ab To Uske Bina
Dard Se Mera Rishta Kuch Aisa Raha
Kabhi Wo Aage Kabhi Mai Aage Raha
Mangi Jab Bhi Zindgi Se Khushiya
Jholi Bhar Mujhe Gum Milta Raha
Naaraz Hun Zindgi Se
Naaraz Hu Aaj Mai Khud Se
Kyon Nahi Samjhta Mai Dil Ki Baat
Kyon Har Soncah Karta Hun Uski Woh Baat
Meri Lambi Umar Ki Dua Na Karna Doston
Ke Maine Khuda Se Abhi Maut Mangi Hai
Guzar Gai Hai Saari Zindgi Intezaar Mai
Ke Umar Mari Lambhi To Nahi Doston
Jagana Raato
Ginna Taro Ko
Chando Ko Sanam Kehna
Kaya Yehi Payar Hai
Ghanto Milna Unse
Karna Baaten Unse
Phir Bhi Tadap
Kaya Yehi Payar Hai