Phir Yad Aaya Mujhe, Ek Mausam Beeta Hua,
Jab Tumse Maine Poocha Tha,
Kya Tumne Dekha Chand Ko
Lagta Hai Jaise Ki Koi
Khamoshi Hai Itani Ki ,
Ye Nagme Sunayi Nahin Dete
Gujar Gaya Hai Waqt Itna Ki
Ye Zakham Ab Dikhayi Nahin Dete
Chalte Chalte Bheed Ke Sath
Phir Tanha Hum Ho Gaye
Dhundhte Rahe Manzil Ko
Aur Karvan Guzar Gaye
Chahne Se Hota Hai Kyaa Hasil
Bakhubi Jante Hai Hum
Hairan Hain Ke Phir Bhee Chahte Hain Hum
Aa Jate Is Daman Mein Koi Sitara Shayad
Rahakar Phulon Ke Aas Pass
In Kanton Se Rishta Rakhte Hain
In Jhuthi Muskrahton Ke Peeche
Ashkon Ke Sailab Chupa Ke Rakhte Hain
Na Ye Shahar Tera Hain Na Ye Shahr Mera Hain
Ajanbee Si Deewaron Nein Charo Taraph Se Ghera Hain
Her Kadam Par Koi Ahat Her Kadam Par Koi Awaz
Jo Dekha Mudkar To Jana Ki Ye To Vaham Mera Hain
Kisko Dhundhe Hain Aankhe Meri
Bas Tanhahiya Hai Yanha
Dikhte Hain Chehare Nahin
Bas Parchahiyan Hai Ynha
Janhaa Kabhii Khilate Thii Phule Chahton Ke
Aaj Wanha Yaadon Ke Cactus Uge Hain
Janhaa Kabhii Aatei Thii Baharein Chalkar
Wanha Aaj Hawaon Ke Rukh Mude Hue Hain
Ye Zindagi Itani Ajanbee Kyun Hain
Kisi Pal Khushi To Dusre Pal Nami Kyun Hain
Khush Ho Jaun Main Kis Bat Par
Kis Bat Par Gum Main Simat Jaun
Chod Kar Saath Phulon Ka Humne Kante Chune Hain
Bhulkar Khushiyan Humne Gumon Ke Tarane Chune Hain
Bheed Se Hokar Juda Humne Tanha Safar Chune Hain
Din Ke Ujale Jab Chubhane Lage Tab In Raton Ke Saye Chune Hain