Aaj Ki Ye Rat Sanam, Phir Yad Tumhari Layi Hai,
Koi Bhi Nahi Hai Pas Mere, Phir Bhi Nahi Tanhai Hai.
Aankhen Sheetal Si Lagti Hai, Jinme Teri Tasveer Lagi,
Sanse Komal Si Lagti Hai, Jisme Ki Tum Ho Aan Basi.
Unke Iss Iqrar Mein Bhi Ek Qarar Shamil Hai
In Daro-Deewar Mein Bhi Ek Darar Shamil Hai.
Wo Badha Kar Hath Aksar Humse Milne Aaye Hai
Do Gharon Ke Beech Phir Kyu Ye Deewar Shamil Hai
Wo Guzre Hue Pal Dil Ko Sawal De Gaye Kai,
Khud Apne Hi Prashno Ke Jawab Likh Raha Hu Mai.
Kaun Poochega Band Aankhon Ke Sapno Ko Mere,
Tere Diye Khuli Aankhon Ke Khwab Likh Raha Hu Mai.
Ye Noor Hai Tere Chehre Ka, Ya Khud Hi Mahtaab Hai,
Tu Haseeno Se Haseen Hai, Tera Husn Lajawaab Hai
Nigaahen Hui Teri Ya Hain Ye Paimane Bhare Jaam Se,
Jaan-E-Man Teri Aankhon Mein Nasha Toh Behisaab Hai
Phir Se Aaj Kuch Likhne Ko, Lo Humne Kalam Utaya Hai,
Tumse Mera Jo Wada Tha, Pura Karne Ka Waqt Aaya Hai.
Sochu Lekin Main Kya Likhu, Kaise Tumko Mai Bayan Karu,
Jo Yauvan Tumne Paya Hai, Kaise Usko Shabdon Mein Bharu.
Kabhi Har Bat Pe Ladna, Kabhi Israar Karna,
Kabhi Wo Bewaja Hi Mujhse Yu Takrar Karna,
Kya Kahu Tujhko Aye Adaa-E-Muhabbat,
Har Haal Mein Tera Wo Mujhse Pyaar Karna.
Muhabbat Mein Kiye Wade Tode Bar Bar Maine,
Phir Bhi Tera Har Waade Pe Aitbaar Karna,
Kya Kahu Tujhko Aye Adaa-E-Muhabbat,
Har Haal Mein Tera Wo Mujhse Pyaar Karna.
Aaj Phir Se Hame Is Mausam Mein Kho Jane Ko Dil Karta Hai,
Teri In Naram Se Aagosh Mein Simat Jane Ko Dil Karta Hai,
Khusnuma Si Fizayen Hai, Ek Madhoshi Ka Aalam Hai,
Inn Barasti Boondon Mein Bheeng Jane Ko Dil Karta Hai,
Kabhi Mehfil Mein Toh Kabhi Tanhai Mein
Humne Dhoondha Khud Ko Har Parchai Mein
Nahi Kuch Khabar Kahan Kho Gaya Hu Main
Gum Hu Kahin Bas Zindagi Ki Ladai Mein
Ek Bholi Si Surat Hogi Do Kajrare Naina Jhilmil
Hoth Gulab Ke Pankho Sephoolo Ki Mehek Sanson Mein Shamil
Galon Mein Suraj Ki Lalimathe Par Pyari Si Bindiya
Kesh Kaale Baadal Se Ada Uda De Jo Nindiya
Unn Masoom Nigahon Ko Hum Na Jaane Kya Samajh Baithe
Teri Dilkash Adaon Ko Hum Wafa Samajh Baithe
Badi Hasrat Se Sajaya Tha Dil Ka Aashiyan Humne
Tujhe Nafrat Bhari Dunai Mein Hum Dua Samajh Baithe