Ankhon Me Hai Surat Teri
Dhadkno Mein Basa Hai To
Zindgi Mein Hai Nasha Tera
Tere Bina To Main Udas Hun
Tu Hai To Bahare.N Hai.
Tu Nahi To Patjhar Hai..
Tu Hai To Sawan Hai…
Tu Nahi To Sab Jageh Aakal Hai..
Mere Paas Kya Hai Khamoshiyaa.N
Mere Paas Hai Kucchh Tanhaiyaa.N
Aur Hai Kafi Gam Aur Rusvaiyaa.N
Na Kholo Meri Kitaab Yaha Hai Dukh Ki Gehraiyaa.N
Mere Labo Per Khamoshi Hai Khamosh Rehne Do
Dard Ki Parte Jami Hai Jami Rehne Do
Khoon K Aansoo Royengi Varna Ye Meri Ankhe
Na Chup Hoyengi Fir Meri Ankhe
Mujhe Mujhi Se Churaaya,
Paagal Deewana Banaaya,
Ab To Tumhare Dil Mein Rehne Ko Jee Chahta Hai.
Jab Jab Didaar Tera Paaya,
Ek Dost Ka Rishta Hi Hota Hai Saccha (Agar Vo Saccha Dost Hai To)
Na Vo Domukhi, Na Vo Swarthy
Na Use Kuch Pane Ki Chah, Na Use Kuch Dene Ki Takleef
Bas Vo To Hota Hai Ek Niswarth Chhalakta Hua Rishta.
Thak Gaya Main Ro Ke Aansu Chhupaate Hyue
To Haste Haste Aankhen Chhalak Aati Hain
Jaane Kaunse Dard Se Hain Dil Bhara Bhara
Jaane Kaunse Khauf Se Hain Zehn Dara Dara
Mere Dard Ko Koi Naam Na Do.
Main Baichain Hoo Iska Koi Hisab Na Lo
Meri Tanhaiya Mujhe Sahara De Rahi Hai
Main Pareshan Kyu Hoo Iska Zikr Na Ho
Main Udas Raho Per Chal Rahi Hoo
Mujhe Apni Mehfil Ki Duhai Na Do
Main Chalta Firta Dard Ka Sagar Hoo
Is Ufante Sagar Ko Thandak Ka Ehsas Na Do
Meri Tanhaiya Pagal Na Kar De Mujhe Me Darti Hoo
Raato Ko Khamosh Yun Hi Takka Karti Hoo
Ye Dil Ki Awazee, Ye Gamo Ki Padchaap,
Her Pal, Her Lamha Tere Dard Ka Ehsas
Mujhe Dard-O Gam Ye Tanhaiya Raas Aane Lagi Hai
E Chand E Sitaro Jao Mujhe Gam Ki Badli Hi Ab Bhane Lagi Hai
Me Kaise Sametoo Tootte TaaroN Ko
Me Kaise Sametoo Bikharte Khawabo Ko
Aaj Dil Pe Koi Zor Chalta Nahi
Aaj Ashko Se Sawan Dhalta Nahi
Teri Choto Ne Jakhmi Kiya Hai Is Kadar
Kisi Marham Se Jakhm Bharta Nahi
Tune Rusva Kiya Hai Hame Is Kadar
Thandi Sanso Ka Sailab Rukta Nahi
Apne Hi Shaanon Pe Sir Rakh Kar (Shaanon Kandho)
Ro Lene Ka Bharam Dil Se Hatta Nahi