Mere Mazaar Pei Aksar Ye Kaun Rota Hain,
Jo Mud Ke Dekha To Ekk Nek Saya Hota Hain.
Yeh Kaun Har Subah Charaag-E-Dil Jalata Hain,
Gauhar-E-Chasm Bhii Dopher Tak Pirota Hain.
Mein Hoon Meri Kalam Mere Kaagaz Mera Kamraa,
Abb Kya Hain Khuaf Koye Nahi Saath Jo Mere.
Dil Baat Kare Jab To Yeh Deewaar Sune Hain,
Kagaz Samet Lete Hain Jazbaat Jo Mere.
Naa Woh Pehli Si Baatein Hain Naa Woh Pehla Sa Apnaapan,
Main Abb Kisse Kahuun Kaise Kahuun Main Laut Aayaa Huun.
Gayaa Tha Main Hazaaron Khwaab Lekar Shehar Ki Jaanib,
Magar Abb Hoke Dekho Sarr-Niguun Main Laut Aayaa Huun.
Zamaane Bhar Ki Muraadon Ko Dil Mein Rehne Do
Saare Sarkaar Ke Vaadon Ko Dil Mein Rehne Do
Nahiin Yeh Waqt Ke Hum Khwaab Sunehra Dekhein
Yeh Dhuaan Aur Dhamakon Ko Dil Mein Rehne Do
Uske Bagair Jeena Abb Asaan Ho Gaya,
Mere Khuda Tu Mujh Pe Meharbaan Ho Gaya.
Rahta Tha Mere Dil Mein Woh Gumsum Sa Iss Liye,
Accha Hua Jo Khaali Yeh Makaan Ho Gaya.
Main Ghar Ko Chod Aaya Tha Khud Ghar Ke Vaaste,
Paane Ko Ekk *Bahaal Se Manzar Ke Vaaste.
Ekk Deep Door Se Hee Sahi Roshni Tau De,
Aur Chaahiye Kya Tumko Rahguzar Ke Vaaste.
Yeh Manzar Dekhtaa Hoon Jab To Dil Mein Dard Hota Hain,
Ke Apne Ghar Kaa Nakshaa Abb Nahi Dilkash Mere Humdum.
Naa Abb Darr Kee Koi Darkaar Naa Khirki Kaa Koi Kaam
Ke Harr Ekk Shaksh Apne Ghar Mein Khudka Ghar Banaaye Hain.
Yun Baat Baat Pe Aakhoon Ko Tarr Nahii Karte,
Qaraar-O-Chain Ko Zer-O-Zabar Nahii Karte.
Zer-O-Zabar = Up & Down,
Read Full ShayariMujhe Naa Jaane Kabse Ekk Marz Le Baitha,
Ke Dil Kaa Ekk Bhii Armaan Main Baki Naa Rakhoon,
Her Ekk Arzoo Apni Bayaan Ker Daaloon,
Kitaab-E-Dil Kaa Aks Khaama-O-Kagaz Se Bane.
Nayee Deewar Naya Dar To Naye Log Milenge,
Lekin Poorana Ghar To Koi Bhoolta Nahii.
Hain Zindagii Zaalim Beraham Maut Bhii Lekin,
Duniya Kaa Ye Manzar To Koi Bhoolta Nahii.