Main Bhi Kora Hun, Tum Bhi Saade Ho,
Main Tera, Tum Mere Sahaare Ho,
Khaar Ho, Khaaq Ho, Khala Koi Tum,
Apni Maa Ke Magar Dulaare Ho,
Hum Pe Ab Tak Jo Uski Ek Mulakaat Ka Saroor Hai,
To Laazmi Hai Ye Ki Use Bhi Khud Pe Guroor Hai,
Meri Shaksiyat Mein Kuch To Tera Bhi Zaroor Hai,
Jo Dekh Sabhi Kahe Tera Mehboob Magroor Hai,
Tere Is Shahar Ka Ab Ishq Hi Dastoor Ho Jaaye,
Ke Nafrat Jis Kisi Mein Ho Yahaan Kaafoor Ho Jaaye,
Main Jiske Paas Jata Hoon Vo Mujhse Door Ho Jaaye,
Mujhe Wo Lafaz Laa Do Ke Raza Manjoor Ho Jaaye,
Kya Hamaare Sabar Ko Phir Aazmaane Aa Gaye,
Hamne Aansu Bhi Na Ponche Vo Rulaane Aa Gaye,
Jin Ne Marte Waqt Bhi Mujhko Nahin Poocha Kabhi,
Meri Maiyyat Pe Vahi Daavat Udaane Aa Gaye,
Paheli Lage Aqsh Apna Hi Ab Aainon Mein Mere,
Mera Chehra Hi Kahin Kho Gaya Chehron Mein Mere,
Saza Maut Ki Jisne Mujhko Sunaayi Mohabbat Mein Thi,
Vahi Dhadkane Dhoondti Phir Rahi Cheethron Mein Mere,
Unhe Muskurana Jo Pasand Tha Humari Bewkoofiyon Pe,
To Hum Bhi Jaan-Boojh Kar Bekoofiyaan Karte Gaye,
Read Full Shayari