Naye Saal Ki Nayi Subah Ka Naya Suraj Tumhe Mubarak
Naye Khwaabnayi Umangennaye Dhiraj Tumhe Mubarak
Nayi Siyaasatnaye Usool Chaudi Sadkenoonche Pool
Naye Iraadennayi Tamannanayi Samaj Tumhe Mubarak
Zindagi Jeene Ka Hoslaa Kisi Ka Bhi Kam-Tar Nahi Hota
Yeh Baat Aur Hai Sab Ka Yahan Achha Muqaddar Nahi Hota
Kahin Dhoop Kahin Sayakahin Gham Kahin Khushi Hai
Is Duniya Me Kahin Bhi Ek Jaisa Manzar Nahi Hota
Kisne Aag Laga Di Mere Is Chaman Mein
Kyu Daagh-E-Khun Hai Har Kisi Ke Perhan Mein
Kyu Sehmi Sehme Si Har Shea Nazar Aati Hai
Kyu Kayaal-E-Aman Aata Nahi Kisi Zehan Mein
Kabhi Meri Khamoshiyon Ki Zabaan Samjo
Kahi Na Gai Hoton Se Woh Dastaan Samjo
Mera Hasta Hua Chehra Dekhne Walo Zara
Uth Raha Hai Aakhon Se Woh Dhuaan Samjo
Yeh Mana Ke Tumhare Barabar Nahi Hu Main
Par Nazar Na Aaun Itna Mukhtasar Nahi Hu Main
Zindagi Ki Dhoop Mujhe Bhi Jhulsa Deti Hai
Kya Karun Aadmi Hu Koi Shajar Nahi Hu Main
Main Rokta Hun To Yeh Jazbaat Mein Dhal Jate Hain
Kisi Bhi Haal Mein Aansu Mere Nikal Jate Hain
Main Ek Se Bartaav Ki Umeed Rakhta Hun Sabse
Aur Log Yahan Mausam Ki Tarah Badal Jate Hain
Shab-E-Zindagi Ho Chali Intezaar-E-Yaar Khatam Na Hua
Umeedon Ko Neend Aa Gai Par Junun Tera Kam Na Hua
Yun To Mile The Raah-E-Zindagi Mein Kai Dost Magar
Dum Bhar Ke Liye Bhi Koi Yahan Hum-Dum Na Hua
Main Phool Hun Mujhe Tum Phool Ki Tarah Rehne Do
Mujhe Apni Baat Khushboo Ki Zubaan Mein Kehne Do
Mana Ke Kuch Roz Mein Murjha Kar Bhikar Jaunga
Magar Tab Talak To Mujhe Apni Shaakh Pe Rehne Do
Raat Ke Khaab Ki Tarh Tum Bhula Do Mujko
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Mita Do Mujko
Main To Pathar Hun Koi Aehsaas Na Do Mujko
Kisi Mandir Mein Le Ja Kar Saja Do Mujko
Aaj Ke Is Daur Mein Dhunde Se Bhi Insaan Nahi Milta
Qaatilon Ke Hujum Mil Jate Hain Ek Maherbaan Nahi Milta
Bas Gai Hai Rooh-E-Shaitani Jism-E-Insaani Mein
Har Jagah Insaan Hai Magar Phir Bhi Insaan Nahi Milta