Dil Ki Deewarein Kaanch Ki Tarah Toot Gayi
Phir Bhi Wo Dhundla Sa Har Tukde Par Uska Naam Dikhta He,
Kehta He Wo Ki Yaad Aati Hai Aapki Bahut
Phir Kyu Nahi Kabhi Koi Paigaam Likhta He,
Ae Dil Tu Kyu Ghabra Raha He,
Bhrosa He Khud Se Zada Tuje Uski Mohhabat Par
Phir Kyu Baar Baar Maiyus Huye Ja Raha He,
Yaad To Teri Bhi Use Aati Hogi
Zindagi Humare Aage Se Guzar Gayi
Ek Baar Bhi Use Rokne Ki Himmat Na Hui
Hum Sote Rahe Maut Ke Phoolon Pe
Ek Baar Jaag Jaane Ki Zurrat Na Hui
Na Chahat Thi Sitaron Ki
Na Chand Ko Maanga Tha Humne
Bas Tere Pyar Ka Aasmaan Kaafi Tha
Saanson Pe Baras Jaane Ke Liye,
Na Umeed Ki Thi Bahaaron Ki
Na Phoolon Sa Baandha Dhaaga Tha Humne
Teri Saanson Ki Khushbu Hi Kaafi Thi
Meri Rooh Tak Pahunch Jaane Ke Liye,
Kyu Armaanon Bhara Dil Tod Jaata Hai Koi,
Kyu Pyar Ke Kaanton Bhare Rah Mein Do Kadam Saath Chal Kar
Peeche Mud Jaata Hai Koi,
Kyu Khawb Dikha Kar Haqiqat Mein Kho Jaata Hai Koi,
Kis Tarah Bikhar Gaye He Hum
Kisi Aaine Pe Paathar Gira Ke Dekho,
Dil Ro Raha Ho Jab
Tab Muskura Kar Dekho,
Kyu Zindagi Tu Tham Si Gayi He
Aakhein Bhi Nam Si Ho Gayi He
Door Se Dekha To Bahut Khubsurat Dikhi Tu
Kareeb Aakar Kyu Tufaano Se Bhar Si Si Gayi He
Tujse Teri Thodi Si Zindagi Churaani Chahi
Phir Bhi Kyu Kam Pad Si Gayi He
Koshish Hazaar Ki Tujme Samaa Jaane Ki
Par Kyu Gamon Ke Rait Me Tu Jamm Si Gayi He
Maree Nahi Tujse Bichad Kar
Bas Itna Hi Hai Ki Humse Jiya Nahi Jaata,
Nafrat Bhi Nahi Karte Tujse
Par Pyar Bhi Ab Kiya Nahi Jaata,