Halaat Se Majboor To Bahut The Mager
Apna Dil Khud Kabhi Toda Na Gaya.
Jisko Chaha Wo Tootne Se Raha
Aur Jo Toota Use Joda Na Gaya .
Had -E- Nigah Tak Waki Jahan Tanhai Hai;
Zindagi Jane Humein Kis Jagah Pe Lai Hai.
Khamosh Hoker Baith Gaya Hoon Mai Harker;
Khud Apni Hi Kuwwat Na Apne Kaam Aai Hai.
Mai Teri Wazm Se Kuch Lamhe Chupa Laya Hun
Waqt Ki Shaakh Se Do Patte Chura Laya Hun.
Sochta Hoon Ke Tumhein Nazra Karun
Apne Jajwat Ko Is Khat Mein Sazaa Laya Hun.
Shabnam Ko Bhi Humesha Barsat Hi Samjha
Humne To Isharon Ko Bhi Baat Hi Samjha .
Haan Tujhse Guftgoo Ki Khahish To Bahut Thi
Per Deedar Ko Bhi Maine To Mulakat Hi Samjha .
Awara Ilzam Diya Hai Rah Dikhane Walon Ne
Humko Tanha Chod Diya Hai Saath Nibhane Walon Ne.
Kab Se Dhund Raha Hun Koi Naam -O- Nishan Nahi Tera
Shayad Koi Majaq Kiya Hai Pataa Batane Walon Ne.
Kuch Baat Hi Aisi Hai Nigahon Mein Yaar Ki
Neeyat Hi Nahi Bharti Dil -E- Bekarar Ki
Wo Pehle Pyaar Ki Kashish Wallah
Meri Saanson Mein Thi Khushbu Bahar Ki
Laute Jo Teri Bazm Se Hare Thake Hue
Ab Sochte Hai Rounakein Aundhe Pade Hue.
Wo Bhale Jo Bahar Ke Jaate Chale Gaye
Ab Udte Hai Baagwaan Mein Bus Patte Jhade Hue.
Baal Bikhre Khusk Chehra Dikhai Deta Hai
Aaj Kal Wo Jara Pareshan Dikhai Deta Hai.
Wo Gujera Hai Kin Halat Se Khuda Jane
Apni Taqdeer Ke Akser Duhai Deta Hai.
Unki Khidmat Mein Kuchh Alaa Janab Hote Hain.
Husn Wale Jidher Wasabab Hote Hain.
Hum Yoon Rote Hain K Rote Bhi Nahin
Wo To Gum Bhi Bare Lajabaab Dete Hain.
Gar Wo Laut Ke Aana Gawara Nahi Karte
To Hum Bhi Jaane Waalon Ko Pukaara Nahin Karte
Jinhen Ho Apni Khudi Pe Bharosa Wo Kisise
Saath Chalne K Liye Ilteza Nahin Karte