Kuch Muskurahat Baant Ke Kuch Gam Chura Lo,
Yaad Na Karo Usko, Koshish Karo Palkon Mein Chupa Lo.
Kahan Tak Jeeyein Un Baton Ke Sahare,
Kabhi Apni Kismet Bhi Aazma Lo.
Koi Khwab Na Dekh, Koi Aansoo Na Baha
Yun Roz Apne Muqaddar Ki Dastan Na Suna.
Wo Jo Kareeb Hain, Har Baat Samajhte Hain
Apni Ulfat Ka Unko Izhaar Na Dikha.
Is Fiza Ki Khushboo Mein Fir Kuch Kami Si Hogi,
Na Hongi Wo Sharatein Bas Aankhon Mein Bikhri Yaad Aur Nami Si Hogi.
Chehre Pe Aayi Shikan Aur Mathe Ki Salvaton Ko Kiske Sang Baanta Karoge,
Kin Doston Ke Saath Fir Raat Raat Bhar Baatein Kiya Karoge
Kisi Haseen Rutt Ki Aur Farmaish Kya Hogi,
Zindagi Ki Aur Numaish Kya Hogi.
Humne Tujhko Talasha Hai Har Kadam Par,
Ek Hichki To Tujhe Bhi Roz Aayi Hogi.