Main Naamvar Tha Aaj Hoon Badnaam Ho Gaya,
Yeh Ulfat-E-Jam-E-Main Se Mera Anjaam Ho Gaya,
Tauba Hazaar Karke Bhi Nahin Chhodta Sharaab,
Charcha Meri Khata Ka Sar-E-Aam Ho Gaya,
Tauba Hazaar Baar Ki Hai Maine Sharab Se,
Lekin Nijaat Mil Na Saki Is Azaab Se,
Ab Shauq-E-Maikashi Hai Meri Aye Zeest Ka Sabab,
Juz Iske Jee Sakoonga Na Kisi Aye Hisaab Se,
Dekhta Hoon Aks Tera Dekhta Hoon Main Jidhar,
Tishnagi-E-Deed Phir Bhi Na Gayi Saari Umar,
Ik Ziarat Ki Tamana Ab Bhi Baqi Hai Meri,
Lakh Main Sajde Karun Ho Jaye Gar Tu Jalwagar,
Aata Hai Yaad Jab Bhi Guzra Hua Zamana,
Gulshan Sa Mehak Uthata Hai Zeest Ka Veerana,
Aati Hai Phir Baharein Hasti Ke Biyaban Mein,
Hota Hai Phir Munavar Is Dil Ka Sanamkhana,
Sajde Hazaar-Ha Kiye Uss Butt Ke Saamne,
Lekin Karam Na Uska Mujh Par Kabhi Hua,
Aathon Pahar Raha Usi Ke Khayal Mein,
Phir Bhi Asar Na Layi Koi Meri Dua,
Mauqa-E-Izhaar Aaya Hoton Ko Seene Ke Baad,
Hosh Jaise Aana Chahe Raat Bhar Peene Ke Baad,
Read Full ShayariTaa Umar Rahe Uljhe Hasti Ke Masaayil Mein,
Hamein Ishq-O-Mohabbat Ki Fursat Hi Nahin Thhi,
Ham Kaise Bayaan Karte Voh Dard Ka Afsaana,
Kuchh Kahne Hi Humko Aadat Hi Nahin Thhi,
Uss Mujassama-E- Beniyaaz Se Arzoo-E-Ikraam Kya,
Kuchh Nahin Chhoota Use Bandagi Kya Salaam Kya,
Khud Hi Dete Ho Zakham Khud Hi Karte Ho Davaa,
Dard-Daan Jab Ho Maseeha Aayega Aaraam Kya,
Guzri Tamaam Umar Meri Intezaar Mein,
Vaada Shikan Nahin Vo Isi Aitbaar Mein,
Us Butt Ko Bandagi Ka Ya Ilm Hi Na Tha,
Banda Nawaazi Na Thi Ya Ikhtiyaar Mein,
Yeh Kya Ajab Gunaah Bekhudi Mein Kar Gaya,
Jo Maikade Ko Chhod Main Allah Ke Ghar Gaya,
Saaqi Ne Bazm-E-Maiy Mein Kya Jaane Keh Diya,
Har Rind Maiykashi Se Tauba Hi Kar Gaya,