Tere Bina Kaise Meri Guzarengi Ye Raatein,
Tanhai Ka Gam Kaise Sahengi Ye Raatein,
Bohat Lambi Hai Ye Ghadiyan Intezaar Ki,
Karwat Badal-Badal Kar Katengi Ye Raatein,
Khamosh Kadamon Se Ye Mere Ghar Aayi,
Ek Aur Surmai Shaam Phir Mere Dar Aayi,
Basaana Chaha Jab Maine Isse Palkon Par,
Ban Kar Ye Ashq Aankhon Se Ubhar Aayi,
Mat Puchiye Haal Dil Lagaane Ke Baad,
Deewaangi Mili Hosh Lutaane Ke Baad,
Aap Ke Siwa Kuch Aur Ab Yaad Nahi,
Mohabbat Ki Duniya Basaane Ke Baad,
Apni Bewafai Par Sharamsaar Hoon,
Aap Ke Dil Ki Main Gunahgaar Hoon,
Kaise Kahoon Maaf Kar Do Mujhe,
Dard-E-Ruswai Ki Khatawaar Hoon,
Meri Har Dhadkan Mein Teri Baat Hai,
Har Ehsaas Mein Tu Mere Saath Hai,
Saanson Ki Tarah Base Ho Mujh Mein,
Tere Zikar Se Mehakti Meri Hayaat Hai,
In Dhadkano Ka Tarana Tera Pyaar Hai,
Mere Jeene Ka Bahana Tera Pyaar Hai,
Tere Pehlu Mein Khud Ko Bhool Gaye,
Kar Deta Mujhe Deewana Tera Pyaar Hai,
Kitni Khubsoorat Ye Roshni Ki Baraat Hai,
Maangi Thi Rab Se, Wo Diwali Ki Raat Hai,
Jeete Rahe Jis Ki Aarzoo Mein Hum Barson,
Unke Pehlu Mein Ab Jeene Ke Lamhaat Hai,
Maangti Hai Rab Se Dua Roz Zindagani Meri,
Tere Pehlu Mein Khatam Ho Ye Kahani Meri,
Umeed Chand Sitaron Ki Kahan Hai Mujh Ko,
Chahti Hai Sirf Teri Mohabbat Ye Jawani Meri,
Kitni Hai Mohabbat Kya Likhen,
Apni Ishq-E-Tabiyat Kya Likhen,
Karti Hai Bayaan Sab Aankhein,
Ab Dard-E-Ulfat Kya Likhen,
Dil Par Guzarti Qayamat Aaj Bhi Hai,
Woh Pehli Si Mohabbat Aaj Bhi Hai,
Dil Ki Bechainiyaan Karti Hai Ikraar,
Dhadkanon Mein Shiddat Aaj Bhi Hai,