Mujhe Gussaa Dikhaayaa Jaa Rahaa Hai
Tabassum Ko Chabaayaa Jaa Rahaa Hai
Vahin Tak Aabaru Mein Zabt-E-Gam Hai
Jahaan Tak Muskuraayaa Jaa Rahaa Hai
Un Se Hamein Kuchh Kaam Nahin Hai
Dil Ko Magar Aaraam Nahin Hai
Meri Tabaahi Meraa Muqaddar
Aap Pe Kuchh Ilzaam Nahin Hai