Tum Door Sahi In Nazaroo Ke,
Par Dil K Paas To Tumhi Ho,
Meri Sans Sans Mein Pakeza,
Mere Har Ehsas Mein Tumhi Ho.
By Sarfaraz Ahmed
Dard-E-Dil Ka Har Manjar, Meri Khamoshi Baayan Karengi,
Mere Pyar Ki Wo Har Khushi, Tumhari Aankhe Baayan Karengi,
Kisi Ke Dil Ko Itna Bhi Na Tadpa “ay Dostâ€,
Ke Chhuti Jo Manzil Wo Rahe Baayan Karengi.
By Sarfaraz Ahmed
Har Ghadi Bas Tumhara Intzaar Hi Rehata Hai,
Na Jane Kab Aaogy Tum, Bas Dil Bekarar Hi Rahata Hai,
Kaun Sa Wo Hoga Pal A Rahe Mohabbat,
Dil Mera Palkein Bichhay Hi Rahata Hai.
By Sarfaraz Ahmed
Jo Mohabat-E-Fiqr Na Hoti, Haan Tumhe Bhul Jate Sanam,
Q Raaton Ki Nendo Ko Phir Apni Gawate Hum,
Raha Baaki Kya Aa Zara Mujh Mein To Dekh,
Ek Tera Chehra Jise Din Raat Aankho Mein Sazate Hai Hum.
By Sarfaraz Ahmed
Faqt Dil Ko Yun Samjhana Aasan Nahi Hota,
Tute Aayne Ko Yun Simtana Aasan Nahi Hota,
Tuta Hai Dil Mera Aasqye-E-Mohabbat Mein,
Aur Tute Hue Dil Ko Lagana Yun Aasan Nahi Hota.
By Sarfaraz Ahmed
Koi Khawab Sa Wo Meri Zindagi Mein Aaya,
Saj Kar Sanwar Kar Mujhe Behlaya,
Kuch Der Khush Tha Main Ay Zindagi Meri,
Tuta Khawab Jo Samjh Mein Aaya,
Pyar Karna Thi Dil Lagi, Nahi Yahan Tera Koi Sarmaya.
By Sarfaraz Ahmed
Tumne Hans Kar Kya Pucha Haal-E-Dil Mera,
Main Har Gam Apne Bhula Baitha,
Mera Ishq Junu Deewangi Tum,
Main Har Pal Apne Gawan Baitha.
By Sarfaraz Ahmed
Gam-E-Ishq Ne Shayar Humko Bana Diya,
Jo Shakh Se Hum Tute, Zarra Humko Bana Diya,
Mein Phool Hun Wo Tuta, Gulshan Na Jisko Mil Saka,
Par Yaadon Ne Teri Humko, Khusboo Bana Diya.
By Sarfaraz Ahmed
Kyun Yaad Dil Kisi Ko Karta Hai Koi,
Kyun Sapne Aankhon Main Sajata Hai Kisi Ke Koi,
Koi Hai Jo Hokar Bhi Juda Hai Mujhse,
Phir Kyun Dil Ko Har Bar Rulata Hai Koi.
By Sarfaraz Ahmed
Khata Hai Kya, Bata Aye Mohabat-E-Pakeza,
Main Dundta Hun Wo Akas, Jo Mujhme Kabhi Tha,
Ab Hawayen Gamgin Hai Arzoo-E- Mohabat Meri,
Hai Ashiyana Mera Bikhra, Jo Tumse Kabhi Tha.
By Sarfaraz Ahmed