Wo Apne Chehre Mein Sau Aaftaab Rakhte Hain,
Isi Liye To Wo Rukh Pe Nakaab Rakhte Hain
Wo Paas Baithein To Aatee Hai Dilruba Khushbu,
Wo Apne Hathon Pe Khilta Gulab Rakhte Hain
Seeney Ke Pech- O -Taab Se Mehram Nikal Gaya
Angdaai Us Ne Lee To Meraa Dum Nikal Gayaa
Angdaai Bhi Wo Leney Na Paaye Uthaa Ke Haath
Dekhaa Mujhey To Chod Diye Muskura Ke Haath
Faasle Kum Bhi Kiye Meine Faasle Mitane Ke Liye
Door Tum Kyun Chale Gaye Yaad Aane Ke Liye
Woh Wade Woh Kasme Woh Irade Bhool Jane Ke Baad
Phir Kyun Tum Chale Aaye Khwabon Mein Mujhe Satane Ke Liye
Soye Kahan Pe Aankh Ne Takiye Bhigoye Hai
Aaj Hum Bhi Kisi Ke Liye Khoob Roye Hai
Dil Ke Darvaaze Ko Har Waqt Khula Rakhte Hai
Jaane Kis Waqt Tera Bulaava Aa Jaye
Bus Itni Si Hai Meri Kahani
Thi Aik Raja Ki Aik Rani
Rani Us Say Roth Gayi Hai
Bich Safar Mai Chor Gayi Hai
Bahut Khubsurat Gazal Likh Raha Hoon
Tumhe Dekh Kar Aaj Kal Likh Raha Hoon
Tumhare Jawa Khusurat Badan Ko
Tarasha Hua Ek Mahel Likh Raha Hoon
Meri Zindagi Ne Muje Sirf Dhoka He Diya Hai,
Pyaar Ka Nahi Nafarat Ka Jaam Pelaya Hai,
Mera Dil To Eek Ladaki Ne Churaya Hai,
Magar Uss Bewafa Ne Nafarat Ke Seva Kucch Nahi Diya Hai,