Dekha Hai Humne Bhee Rang Badalte Chehron Ko
Tumne Badlaa To Isme Nai Baat Nahii
Log Chod Dete Hai Saath Andhero Mein Aksar
Tum Ujale Mein Chod Do Saath Koi Baat Nahi
Humne Mangi Hai Dua Tumhe Pane Ke
Lag Na Jaye Nazar Kahin Zamane Ke
Muddaton Baad Utahai Hai Kalam
Likhon Kaun Se Gazal Tumhe Manane Ke
Derr Tak Chalti Rahii Kal Baat Telephone Per
Baith Ker Humne Guzaari Raat Talephone Per
Shouk Ki Shahnaiyan Bajti Rahi, Sajti Rahi
Dulhan-E-Didaar Ki Baraat Telephone Per
Tutthe Dekha Aaj Khawab Phir Apni Aankho Se
Abhi To Neend Se Puri Tarh Jaga Bhee Nahi
Abhi Kisi Ko Ba-Basta Bhee Na Kara Saka Apne Khawabon Se
Dard To Hua Jab Kaanch Ke Tutne Si Aawaj Aai
Baat Nikalegi To Phir Duur Talak Jaayegii
Log Bevajah Udaasii Kaa Sabab Puuchhenge
Ye Bhii Puuchhenge Ki Tum Itani Pareshaan Kyun Ho
Ungaliyaan Uthengii Sukhe Huye Baalon Ki Taraf
Raah Aasaan Ho Gaii Hogii
Jaan Pahachaan Ho Gaii Hogii
Phir Palat Kar Nigaah Nahiin Aaii
Tujh Pe Qurabaan Ho Gaii Hogii
Humne Dekha Hain Ek Khawb Khulii Aankhon Se
Barste Hain Kai Jazbaat Khulii Aankhon Se
Pyaar Se Chukar Gujarti Hain Hawa Jab Bhii
Kaati Hain Wo Sari Raat Khulii Aankhon Se
Humari Khawhiso Mein Tum Humari Chahto Mein Tum
Tumhi Ko Humne Apne Dil Ka Razdaar Mana Hain
Jab Chu Kar Juzarti Hai Hawa Tumhare Badan Ko
Tab Gustakhiyan Karta Hai Ye Man Chum Loon Tum Ko
Soncha Nahii Thaa Iss Kadar Ruswaa Kabhii Ho Jayenge
Zindagi Dundhegi Humko Hum Kahin Kho Jayenge
Duriyan Kitne Bhee Ho, Tum Thapkiyan Dete Raho
Hum Pedh Ke Saye Main Bhee Thak Kar Kahin So Jayenge