Roya Tha Dil Magar Aankhen Thi Jo Harkadam Muskurai,
Haan!! Shayad Yeh Bhi Ek Rasm-E-Ulfat Thi Jo Maine Nibhai.
Na Jan Paya Me Ye To Ke Kaise Rishto Me Aa Jati Hai Judai,
Samaja To Yahi Ke Jimmedar Iske Liye Halaat The, Na Ke Uski Bewafai.
Sirf Hathon Mein Hath Nahi Mene To,
Unka Umra Bhar Ka Sath Hai Paya,
Zindagi Se Badhkar Chaha Hai Ekduje Ko,
Tabhi To Chahat Ke Safar Mein Hai Ye Maqam Aaya.
Yeh Uski Sachchi Chahat Ka,
Asar Nahi Mujh Par To Aur Kya Hai,
Aankhein Meri Khuli Ho Ya Bandh,
Chehra To Bas Unka Ka Hi Hai Man Mein Samaya.
Lab Par Ho Hansi Ya,
Aankhon Mein Nami Ho,
Humne Unko Sath Paya,
Han Isi Liye To Hum Ne,
Ek Duje Ko Apnaya.
Log Dekar Tod Jate Hai Jise,
Aksar Us Vade Ko Hum Dono Ne Nibhaya,
Taqdeer Ne Hi Shayad Hum Se,
Ye Namumkin Sa Kam Karvaya.
Mere Pyar Ki Gaherai Jis Din Se Unko Samaj Aai,
Darmiyan Humdono Ke Phir Na Kabhi Aa Pai Judai.
Mehsus Karti Thi Jo Dhadkan Meri,
Dastan Vo Hi Unki Aankhon Ne Doharai,
Pyar Kehte Hai Aakhir Kisko,
Yeh Baat Muje Us Lamhe Ke Bad Samaj Aai.
Murzati Hui Baharon Mein Hum Khilna Bhul Gaye,
Udasine Aisa Ghera Ki Hum Hasna Bhul Gaye.
Phikr To Bahot Hai Hame Hamare Phaile Huye Vyapaar Ki,
Har Pal Utrate Aur Chadhate Huye Share Bazaar Ki,
Kharid Rakhi Hai Shanau Shokat Hamne Sare Jahan Ki,
Par Kuchh Khushiyon Ke Pal Hum Bantorna Bhul Gaye.