Muskurate Hue Dekhna Chaahte Hain
Khilkhilate Hue Dekhna Chaahte Hain
Bhale Yaar Tum Humko Chaaho Na Chaaho
Magar Bepanaah Tumko Hum Chaahte Hain
Tere Hisse Ke Hum Saare Ghum Chaahte Hain
Jo Aane Hon Tujhpe Sitam Chaahte Hain
Bhale Yaar Tum Humko Chaaho Na Chaaho
Magar Bepanaah Tumko Hum Chaahte Hain
Hamein Loot Lo Humse Nazrein Milaakar,
Yeh Dil Jeet Lo Humse Nazrein Milakar,
Jaan Bhee Tere Kadamon Mein Kar Denge Hazir,
Agar Maang Lo Humse Nazrein Milakar
Chalo Tareef Ke Bahane Hi Sahi,
Chand Log Dar Pe Aaye To Sahi,
Hum To Qatl Hone Ko Taiyaar Baithe Hain,
Koi Nigaahon Ke Teer Chalaye To Sahi
Zindagi Ki Sachhai Ko Sweekar Kar Lo,
Khud Apne Ko Apna Madadgaar Kar Lo,
Begairat Ho Taqdeer Ke Bharose Na Baitho,
Apne Haathon Se Kismat Ka Shringaar Kar Lo !
– Sanjay Karndhar
Read Full ShayariAe Shamma, Parwaanon Ko Jalaakar Ke Maaro,
Nigaahon Ke Teer Chalakar Ke Maaro,
Aise Maaro Ke Mar Jaayein Sab Ek Ada Par,
Jo Bach Jaayein Unhe Rulaakar Ke Maaro !
– Sanjay Karndhar
Read Full ShayariAe Do Jahaan Ke Maalik, Mera Ye Kaam Kar De,
Mere Yaar Ka Daaman Bepanaah Khushiyon Se Bhar De,
Milan Ka De Mauka Ya Zudaai Ka Naseeb Kar De,
Mera Yaar Dauda Aaye, Bus Dua Mein Ye Asar Kar De !
– Sanjay Karndhar
Read Full ShayariKhaamosh Raaton Mein Bhi Mehfil Saz Jaati Hai,
Sunsaan Veeranon Mein Bhi Ghantiyan Baj Jaati Hain,
Jab Kabhi Bhi Khayaal Aata Hai Aapki Baaton Ka,
Dil Ke Taar Taar Mein Jhanjhanaahat Mach Jaati Hai
Jo Andheron Mein Chamke Use Noor Kahte Ahin,
Jo Dimaag Pe Chhaa Jaaye Use Fitoor Kahte Hain,
Aaj Ke Liye Urdu Ke Do Shabd Kaafi Hain,
Kal Aapko Do Aur Sikhaayenge Ye Zaroor Kahte Hain
Jo Mil Na Sake, Uska Intezaar Na Karo,
Uski Chaahat Ko Dil Mein Shumaar Na Karo,
Uske Sapnon Ka Khud Pe Khumaar Na Karo,
Isliye Behtar Hai Ektarfaa Kabhi Pyaar Na Karo !
– Sanjay Karndhar
Read Full ShayariMain Aapki Nazron Mein Aa Paaun Kaise,
Husn-E-Shamma Mein Khud Ko Jalaaun Kaise,
Aap Ho To Jeene Ka Ek Maqsad Hai Haasil,
Ab Bataao Bhala Aap Ke Bin Jee Paaun Kaise