Mohabbat Ki Ye Intehaan Ho Gayi
Ki Nazre Mili Aur Dhadkane Ruk Gayi.
Woh Aankhon Ki Masti Mujhe Aashiqi Ho Gayi.
Woh Saanso Ki Khooshbu Mujhe Dilkashi Cha Gayi.
Aap Se Kabhi Mil Na Paaye Hum
Phir Bichadne Ka Darr Kaisa
Meri Har Dhadkan Me Aap Ho Shamil
Phir Aapki Judaai Ka Gham Kaisa
Mere Hamdam Tujhe Khat Likhe Hain Maine Jab Bhi
Sara Din Raah Taki Aas Rahi Khat Ki Mujhe
Main Har Khat Me Apna Haal E Dil Bayan Kiya
Vo Mera Raaton Sote Se Chamak Kar Uthna
Nahi Kehti Vo Kuch Bhi Mujhse Kabhi Bhi
Lagta Hai Ki Uski Nazar Mujhse Kuch Kehna Chahti Hai
Koi Titali Hai Vo Sab Rang Hai Usme
Apne Rango Se Vo Meri Zindagi Ki Rangoli Sajati Hai
Tum Mera Armaan Ho, In Lubo Ki Muskaan Ho
Mujme Basne Wale, Meri Rooh Ki Tum Hi To Jaan Ho,
Her Dard Tera Dard Nahi Lagta, Tum Aise Ek Pahchan Ho
Jo Na Khatam Ho Wo Ahsaas Ho, Jo Na Poora Ho Wo Khawaab Ho,
Kuchh Anchhue Ankahe Armano Se
Ye Khaoobsurat Raat Saji Hai,
Lagta Hai Hamari Khwahishon Ki
Dilkash Sej Saji Hai,
Hamare Sath Ho Aap Jaise
Chaand Ke Saath Ye Chaandni,
Is Raat Ke Daaman Mein Sitaron
Ki Baarat Saji Hai,
Dil Ko Na Jaane Kyun Aaj Teri Yaad Aane Lagi
Bade Dino Se Cha Thi Man Mein Tere Deedar Ki
Aur Ye Natkat Barka Phool Barsaane Lagi
Aaj Meri Tadap Ko Ak Karar Sa Mila
Teray Pyar Ki Arzoo Thi Jo Mujhay Mil Na Saka
Dil Main Wo Phool Sajaya Jo Kabhi Khil Na Saka
Basi Hai Ik Hi Moorat Meray Dil Main
Khoya Jo Usey Phir Wesa Koi Kabhi Mil Na Saka
Mujko Kya Ho Gaya Hai, Haan Kuch To Kho Gaya Hai,
Bechaen Si Dhadkanein Meri Pal-Pal Rehti Hain Yun,
Tumko Chaaha Maine Kitna, Ye Jaanti Sirf Main Hoon,
Ankho Mein Neend Nahi Hai, Dil Ko Ek Pal Chaen Nahi Hai,
Lab Muskurana Bhool Gaye, Kya Se Kya Ham Ho Gaye,
Ab To Aankhon Me Aansoo Bhi Nahi Bache
Bikhar Gaye Rang Saare, Khwaab Jitne Bhi Thhe Rache
Mujhko Kya Ho Gaya Hai, Haan Bohat Kuch Kho Gaya Hai,
Yeh Dil Kuch Kehta Hai Chupke Se
Dhadak Dhadak Kar Kuch Samjhaye Chupke Se
Bahut Bechain Hoon Kehta Hai Chupke Se
Tadap Din Raat Ki Rehti Hai Chupke Se