Chandni Se Chamakti Is Raat Mein,
Ek Khushboo Si Hai Har Baat Mein,
Hai Sitaare Mere Kadmo Ke Tale,
Ek Ehsaas Hai Aaj Unki Har Aahat Mein,
Teri Yaad Jab Aati Hai
Yaad Aati Hai Teri Bewafayee
Tune Diye Jo Mujhko Aanso
Yaad Aata Tera Woh Pyaar
Kisi Ne Ghar Main Bula Ke Loota
Kisi Ne Ghar Mai Aa Kar Loota
Ju Ban Ke Dushman Na Loot Sakta Tha
Us Ne Apna Bana Ke Loota
Khawab Dekhe Har Khawab Mein Yahi Dekha,
Tumko Dekha Bas Tujhe Hi Dekha,
Raat Bhar Main Tera Inzaar Karta Raha,
Manzil Ko Bhool Kar Tera Rasta Dekha,
Khel Kar Yun Ungaliyon Se Baalon Main,
Aur Uljhaao Naa Sawaalon Main.
Padhne Waale To Padh Hi Lete Hain,
Dil Ki Sab Daastan Rumaalon Main.
Log Zalim Hai Jo Fulon Ko Masal Dete Hai,
Hamne To Kanton Ko Bhi Chua Hai Narmi Se.
Unki Sadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Ai Khuda,
Ladte Hai Aur Hath Mein Talwar Bhi Nahi Hai.
Dil Toota Gairon Ki Baat Se To Koi Baat Na Thee
Dil Apno Ney Tod Kar Kaya Paaya Hai
Dil Jalaane Kei Tarike Aur Bhee Theh
Gairon Ko Kyon Seene Sei Lagaya Hai
Kuch Lamhe Zindagi Ke
Reh Gaye Unke Paas Udhaar.
Jaane Kya Waqt Tha Woh
Har Jagah Nazar Aata Tha Unka Pyaar.
Unse Nazar Mila Kar Jo Haalat Ho Gayi Hai
Jaise Qayaamat Ho Gayi Hai
Gham-E-Aalam Se Bharpur Thi
Unse Milne Se Zindagi Zannat Ho Gayi Hai
Kuch Akhri Alfaz Mere Labon Pe Rehne Do
Purani Ek Diwar Pe Tasveer Meri Rehne Do
Abhi To Thik Se Maine Jiya Bhi Nahin Hai
Kuch Pal Ki Jindagi Or Jilene Do