Doob Chala Suraj Raat Ke Safar Kii Or,
Dhal Raha Hain Din Ab Chalo Ghar Kii Or,
Aasma Ke Panchhi Bhii Dhundhe Hain Manzil,
Jise Mil Gaya Basera Wo Chala Shajar* Kii Or,Tree
Kyun Barbaad Huye, Kyun Barbaad Kiya,
Kab Aanh Bhari, Kab Yaad Kiya,
Ab Dil Naa Kisi Se Lagayenge,
Usne Ye Faisla Mere Baad Kiya,
Kabhi To Hogi Tumko Bhi Mohabbat Meri
Isi Aarzu Mein Jiye Ja Rahe Hain
Tadapte Hain Hum Tadpenge Kabhi To Woh Bhi
Dil Ko Tasalli Diye Ja Rahe Hain
Fikar Main Bachchon Ki Kuch Aise Ghul Jati Hai Ma
No Jawan Hote Hue Bhi Budhi Nazar Aati Hai Ma
Rooh Ke Rishton Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye
Chot Lagti Hai Hamare Aur Chillati Hai Maa
Sach To Yeh Hain Ke Teri Yaad Bahut Aati Hain,
Tujhe Yaad Kar Ke Meri Aankh Bhar Aati Hain,
Phir Mandraate Hain Baadal Dil Ke Aasman Mein,
Sehra Mein Baarish Hote Hote Reh Jaati Hain,
Main Hoon Or Ab Mere Ghar Mein Meri Tanhaai Hain
Teri Yaaden Aaj Phir Ban Ke Mehmaan Aayi Hain,
Ye Bhii Chali Jayengi Kuchh Pal Theher Kar,
Shayad Muhabbat Kaa Maatam Manane Aayi Hain,
Naa Jaane Wo Makaan Kiska Tha,
Wahan Ekk Chehra Meri Yaadon Se Milta Tha,
Kal Guzarti Shaam Se Main Puchh Baitha,
Aaftab Bayaabaano.N Mein Kyun Tehera Tha,
Ehsaan Kiya Hain Mujh Par Usne Pyaar Ko Bhula Ke,
Main So Naa Saka Raat Bhar Mere Armaano Ko Sula Ke,
Kiya Karta Hu Main Tanhai Mein Tanhai Se Tazakare,
Muhabbat Tujhe Kya Mila Ham Kamnaseebo.N Ko Rula Ke,
Just Wrote Something Sitting Lonely N Watching The Rain
Pouring Drop By Drop Into My Heart
Ye Daasaan Thi Dard Ki, Fasana Dil-E-Bezaar Kaa,
Rozana Ki Maut Thi, Tha Qatl Baar Baar Kaa,
Iss Pyaar Pe Bhi Kai Imtehaan Guzre Hain,
Kabhi Ishq Pe Tohmat To Kabhi Kufr Ke Farmaan Guzre Hain,
Barsonn Se Dil Ki Zameen Pe Suukha Hai,
Kai_ee Saal Nazar-E-Rukh-E-Aasmaan Guzre Hain,