Tere Bina Iss Dil Ko Chain Naa Aaye Kabhii,
Tasavvur Se Bhee Tera Aks Naa Jaye Kabhii.
Tujhe Bhula Ke Ik Pal Bhee Jeena Pade,
Khudaya Meri Zindaagi Mein Wo Sahar Naa Aaye Kabhii.
Jab Yaad Bhi Kar Na Sake To Phir Bata Ab Kya Karein,
Gesu Khule, Kamsin Hansi, Bade-Sabaa, Ab Kya Karein,
Ik Noor Tha Us Aankh Mein Karta Raha Jo Be-Khabar,
Ghere Hamein Shaamo Sehar Uska Nasha, Ab Kya Karein,
Kahkasha.N Hai Surat, Zulfen Hain Baadal
Inhi Adaon Pe Hue Hain Kitne Hi Ghayal.
Ta-Umr Hum Rahe ‘Ishq’ Ke Tarafdaar Yaaron,
Aur Dil Hi Apna Ho Gaya ‘Husn’ Pe Kaayal.
Dil Kaa Kya Hain Ye To Fir Sambhal Jayega,
Bhatka Jo Kabhii To Iss Til Mein Atak Jayega.
Rukhsar Se Yoon Aanchal Ko Hataya Naa Kijiye,
Dil To Kafir Hain Khuda Ko Bhee Badal Jayega.
Khamoshi Ke Andheron Mein Jab Aashiq Doob Jaate Hain,
Sanam-Khaane Ke Kuch Maghroor Sheeshe Toot Jaate Hain,
Suna Tha Ishq-E-Awwal Ka Madaawa Dusra Hoga,
Kahin Dekhein To Wo Khwaabon Mein Aake Rooth Jaate Hain,
Mere Saaye Ka Na Peecha Karna,
Abr Ka Tukda Hoon,Kya Jaane Kidhar Jaaunga.
Mere Shahar Me Kabhi Tum Aao To Sanam,
Phoolon Ki Tarah Teri Raahon Me Bikhar Jaaunga.
Jisne Vaada Kiya Tha Kabhi Jalwa Dikhane Ka,
Usne Hi Bura Haal Kar Diya Apne Deewane Ka.
Jo Sabki Zubaan Pe Tha Wo Apne Hi Naam Tha,
Hum Dete Bhi To Kya Dete Jawab Is Afsaane Ka.
Gar Mukamal Jahan Hi Mil Jata
To Tere Bina Main Behal Hi Kyon Hota.
Tu Chhod Ke Hame Na Jati Sangdil,
To Khuda Se Mera Ye Sawal Hi Kyon Hota.
Nahi Rakhte Hain Wo Mahkhane Mein Kadam,
Jaam Saaki Jinhe Aankhon Se Pilaya Karte Hain.
Hum To Bas Ik Bewafa Kee Yaad Mitane Ko,
Sharab Mein Ashq-E-Gham Milaya Karte Hain.
Wo Manzar Kabhi Humko Dikhlaiyega,
Zara Der Baahon Mein Aa Jaiyega.
Kabhi Saamne Aake Sharmaiyega,
Kabhi Jaa Ke Parde Mein Chhip Jaiyega.