Tum Chand Ho Kahtey Hain Log Armaan Ho Kahtey Hain Log
Tum Sama Ho Ik Hasee Sa Khawab Ho Kahety Hai Log
Phir Kyoun Tamanna Hai Teri Phir Kyoun Tera Ehsas Hai
Kitney Hasee Baithey Hai Teri Rah May Kehtey Hai Log
Shab-E Intezaar Hai Phir Ke Juda Hai Pyar Mera
Shab-E-Gham May Jee Rahey Na Hai Aietbaar Tera
Nahi Intezaar Ab To Kisi Gum Gusaar Ka Bhi
Safar Ye Zindagi Ka Hai Muktsir Sa Mera
Aur Kal Karenge Tumsay Kuch Haseen Baat Socha Tha
Aur Kal Sunengay Phir Wohi Awaaaz Aisa Socha Tha
Wo Tumhara Intezar Humko Paaney Ka
Ki Wo Kashish Wo Aietbaar Tumko Chahney Ka
Karengay Phir Se Wo He Baat Aisa Socha Tha
Aur Kal Karengey
Aur Kalsunengey
Ke Waqt Le Gaya Hai Phir Tumhari Baaton Main
Tu Kis Hawa Ka Hai Nasha Tu Kis Shama Ki Aag Hai
Jo Paas Aaye Dil Jaley Ho Door Dil Betaab Hai
Her Waqt Tu Anjaan Hai
Phir Bhi Meri Pehchaan Hai
Kaisey Manau Me Tujhey E Dil Tujhey Kya Ho Gaya
Baitha Hay Jiski Aas May Jaaney Kaha Wo Kho Gaya
Teri He Khatir Chal Diya Saarey Sukoo May Chord Ke
Ye Kaun C Hay Rehguzar Tanha Jaha May Ho Gaya
Dil Tumhe Jab Yaad Karey To Aanso Kyu Aa Jatey Hain
Shayad Ye Phir Isi Bahaney Bahar Aana Chahtey Hain
Dil Tarapta Hai To Aankhey Kyu Ye Phir Bhar Aati Hai
Shayad Ye Phir Isi Bahaney Tumsey Milna Chahti Hai
Ke Ik Aisi Jagah Dekhi Jaha Thi Roshni Kaafi
Khushi Thi Naa Wahan Koi Magar Thi Roshni Kaafi
Kiya Mahsoos Gum Ko Aur Tanhai Ko Bhi Humney
Na Dekha Dard Ka Manzar Kahi Aisa Kabhi Humney
Ke Hum Bhi Aa Gaye Hain Gham Se Bhari Mehfil Mein
Jahan Pay Zulmo Sitam Roz Naye Hotey Hain
Kisi Ko Intezaar Hai Kisi Kay Aaney Ka
Kai Barso Say Intezaar Karkey Rotey Hain
Wo Rangi Sa Chehra Tha Khawabon Main Dekha
Her Ik Us Hasee Ko Nazaroon Main Dekha
Hakiqat Main Lekin Wo Parda Nashee Tha
Ki Dil Ki Her Ik Arzoo Ko Tha Dekha
Kiss Se Hui Per Khata Ho Gai
Khamoshi Labhon Ki Saza Ho Gai
Kaisa Hay Rishta Bayaa Na Hua
Judai Ye Beintehaa Ho Gai
Kehna Hay Kuch Dil Pareshaan Hay
Beetey Hue Pal Ka Armaan Hay
Hum Bhi Kharey Hain Osi Raah Per
Jaha Bewafaai Wafa Ho Gai