Meri Khamoshiyo Ko Bayaa De Do
Bezuba Ehsaso Ko Zuba De Do
Dil-E-Nada Kab Tak Fire Dar-Be-Dar
Ise Tum Apne Dil Me Aashiya De Do
Jhootha Hi Sahi Milne Ka Guma De Do
Khushi Na Sahi Dard Ka Jaha De Do
Na_ummid Na Hone De Teri Chahat Umr Bhar
Kuch Is Andaz Me Ghayel Ko Aasra De Do
Woh Dard Ki Dukan Woh Dard Bechte Hain
Humko Khushi Se Pyar Hum Unke Dard Khareedte Hain
Woh Aasuo Se Bhari Aakhe Woh Har Baat Pe Ro Dena
Meri Fitrat Muskarana kyu Hum Bhi Sath Unke Rote Hain
Ek Shayer Ko Pagal Na Kaho Dosto
Uski Halat Pe Na Tum Haso Dosto
Jab Gum Me Tum Bhi Mub_tila Ho Jaoge
Jab Apni Hi Zindagi Se Tum Ghab_raoge
Teri Wafa Mili Hoti To Sirf Wafa Mili Hoti
Intezaar Zakhm Aasoo Tanhaiee Kitna Kuch Diya Hain Teri Bewafaiee Ne
Tum Mil Gaye Hote To Sirf Tum Mile Hote
Veeranapan Sehra Tuta Hua Ek Dil Kitna Kuch Diya Hain Teri Judaiee Ne
Lafzo Ka Her Fer Hain
Koi Doodh Ka Dhula Nahi
Mujsa Bada Ghatiya Shayer
Ghayel Ko Mila Nahi
Naya Sher Naya Khayal Likhege Is Subah
Junoon Yeh Hain Tujko Be_misal Likhege Is Subah
Meri Shayri Yakinan Tere Husn Se Hasee Hain
Teri Har Ada Chura Kar Likhege Is Subah
Kavita Ka Koi Roop Samjh Mein Nahi Aata Hain
Bilkul Kisi Behti Nadi Ki Tarah Chanchal Hain Kabhi
To Kabhi Kisi Tehre Pani Ki Tarah Shant Hain
Kabhi Itna Ucha Hota Hain Kad Iska
Ke Har Cheeze Choti Nazar Aati Hain
To Kabhi Nanha Sa Bachcha Bhi Ise Chu Leta Hain
Rehti Hain Hum Sab Ke Andar
Lekin Har Koi Ise Pehchan Nahi Pata Hain
Meri Mummy Ne Kaha Hain Mujse Beta Mujko Bahu La Do
Maine Kaha Mummy Kaha Milti Hain Bus Itna Bata Do
Mere Papa Mujse Bole Beta Shadi Karle Tu Jawan Ho Gaya Hain
Maine Kaha Papa Baat Kehne Ki Nahi Hai Yeh To Muje Bhi Pata Hain
Kabhi Kajal Kabhi Bindiya Kabhi Chudi Kabhi Gajra
Muje Zakhmi Kiya Zalim Tere Inhi Hathyaro Ne
Kabhi Khushboo Kabhi Aasoo Kabhi Tere Khule Gesu
Muje Banaya Apna Kaidi Tere Inhi Pehredaro Ne
Samundaro Ke Hauslo Ko Aazmane Chale
Woh Doobne Ka Apna Hunar Aazmane Chale
Kho Gaya Unka Wajood Shehar Ki Bheed Me
Pehchan Apni Jo Logh Alag Banane Chale