Tujhe Pyar Karne Se Dar Lagta Hai
Ab To Tere Naam Se He Dar Lagta Hai
Rubaru Dekhne Ki Hai Khwahis Tujhe
Teri Surat Se Bhi Hame Dar Lagta Hai
Pyar Mein Humein Mila Kitna Gehra
Zakhm Yeh Pata Kisko Hai
Num Aankhon Ke Peche Chhupi Meri
Bekaraari Ka Pata Kisko Hai
Apnay Mazi Ke Tasaveer Se Harasa Hun Main
Apnay Guzray Hue Ayam Se Nafrat Hai Mujay
Apni Bekar Tamanao Par Shrminda Hun Main
Apni Basood Umido Pay Nidamat Hai Mujay
Meray Mazi Ko Andheray May Duba Rehnay Do
Mera Mazi Meri Zilat K Siwa Kuch Bhi Nahi
Mujse Ab Meri Mohabbat K Fasanay Na Kaho
Muj Ko Kahjnay Do K Menay Unhay Chaha Hi Nahi
Har Mohabbat Wafaa Nahi Hoti
Har Wafaa Adaa Nahi Hoti
Kya Tamanna Ki Ab Jarurat Hai
Puri Koi Dua Ab Nahi Hoti
Koi To Dilaasa De Mujhe Koi To Mujhse Baat Kare
Koi To Mera Humraaz Bane Koi To Meri Baat Sune
Koi Aisa Hai Jo Yahan Apni Baton Ki Bouly Se
Mere Dil Ke Zakhmon Ko Apne Hathon Se Wo Bhare
Wafa Ke Kaid Khanoo Me Sazaye Kab Badalti Hain
Badalta Dil Ka Mosam Haihawain Kab Badalti Hain
Meri Saari Duain Tum Se Hi Mansoob Hain
Mohbat Ho Agar Sachiduain Kab Badalti Hain
Aagosh Neend Se Jaga Gaya Ek Shakhs
Tod Ke Khwab Ko Khwab De Gaya Ek Shakhs
Nafrat Karta Tha Jinse Kabhi
Palkon Pe Meri Wahi Jhalar Saja Gaya Ek Shakhs
Yaad Karun Mai Tujhe Magar Bhulaya Kab Hai
Tu To Har Waqt Mere Saath Hai Bichda Kab Hai
Mai To Har Ruthne Walon Ko Sadaa Deta Hoon
Meri Awaaz Pe Lekin Koi Rukta Kab Hai
Har Yaad Us Ki Bhula Di Hum Ne
Is Trha Khud Ko Saza Di Hum Ne
Khud Lutay, Dil Bhi Lutaya Hum Ne
Yun Muhabbat Ko Baqaa Di Hum Ne
Ishq Jab Tak Fana Nahi Hota
Husn Jalwah Numaa Nahi Hota
Saltanat Jism Ki Bigad Jaati Hai
Jab Ye Dil Kabu Mein Nahi Hota