Raas Aayii Thii Hume Aawaarghi Pehle Kabhii
Jaagna Shab-Bhar-O-Karna Doston Se Atkhali
Ghar Humara Ab Kafas Maalum Hota Haiy Hume
Chaayii Haiy Viraaniyaan Hotii Jahaan Thii Roshnii
Yeh Dard, Yeh Sitam, Yeh Maajraa Kyaa Haiy
Mere Humdam Mujhe Bata Tujhe Huva Kyaa Haiy
Yun Kabb Talakk Tu Karegaa Shiqaayaten Mujh Se
Mein Maanta Hun Jurm,De Bhi De Sazza Kyaa Haiy
Naa Umeedi Ke Naa Ek Kahaanii Maange
Meri Her Raat Faqt Mujhse Jawaani Maange
Zindaghi Jeyse Karii Dhup Bohot Dur Talak
Maut Ke Zid Hai Ke Wo Shaam Suhaani Maange
Besabab Baat Badhaayen Ye Zaruri To Nahi
Tu Na Maane To Manaayen Ye Zaruri To Nahi
Ye Bhee Sach Haiy Ke Tere Bin Nahi Aaraam Hume
Phir Bhee Hum Tujh Ko Sataayen Ye Zaruri To Nahi
Teri Furqat Me Tere Khwaab Ka Rang
Ek Chehraa Banaa Gulaab Ka Rang
Koee Jachta Nahi Haiy Aankhon Me
Jab Se Dekha Tere Shabaab Ka Rang
Wo Mujh Se Kah Rahe Hain Unhain Bhul Jaon Mai
Mai Unse Kah Rahi Hun Mujhe Yaad Kijiye
Ham Khud Hi Chal Ke Aagaye Daame Fareeb Tak
Hamko Huzur Shauq Se Barbaad Kijye
Khwaab Tooten Hain To Ab Khwaab Ka Charcha Na Karo
Dil Ke Tukro Ko Sar-E-Aam Yun Rusva Na Karo
Dard Hi Dard Ye Mehboob Diyaa Karten Hain
In Se Ailan E Mohabbat Ke Tamanna Na Karo
Tumhaari Aankhon Me Wo Halka Sa Paani
Tumhaare Hoton Ke Wo Thartharaahat
Wo Maathe Pee Thande Paseene Ke Bunde
Kapkapaati Huvi Rooh Ke Garm Aanhe