Tere Paas Aane Ko Jee Chahta Hai
Naye Zakhm Khaanay Ko Jee Chahta Hai
Ider Aaye Shayed Woh Moj-E-Tarannum
Ghazal Gungunane Ko Jee Chahta Hai
Mosum Ki Tarah Janey Kyun Kuch Log Badal Gaye
Ab Sarey Mosum Dil Ke Janey Kyun Khizan Ho Gaye
Ajeeb Se Dasht_O_Sehra Mein Bhatak Rahe Hein Hum
Seraab Ho Ke Samundar Se Janey Kyun Pyasey Ho Gaye
Duniya Waloon Ne Chahat Ka Mujh Ko Silla Anmol Diya
Pairoon Main Zanjerien Dhalien Hathoon Main Kashkool Diya
Itna Gehra Rang Kahan Tha Raat Ke Mailay Anchal Ka
Yeah Kis Ne Ro Ro Ke, Gagan Main Apna Kajal Ghole Diya
Tamanna Ho Agar Milney Ki
Tu Band Aankhon Main Nazar Aayenge
Lamha Lamha Waqt Guzer Jayega
Chand Lamhon Main Daman Chot Jayega
Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo
Ye Zindagi To Hai Rehmat Isay Saza Na Kahoo
Na Janay Wo Kon C Majboriyon Ka Qaidi Ho
Wo Sath Chor Gaya Hai To Bewafa Na Kahoo