Khudko Kurbaan Tujhpar Naa Kare To Kyaa Jiye Hum
Yun Is Kadar Tujhpar Naa Mare To Kyaa Jiye Hum
Teri Yaad Se Bachne Ja Pahunche Maikade Main
Jam Koi Asar Mujhpar Na Kare To Kya Piye Hum
Din Beeta Phir Ek Raat Hai Aayi
Sone Ki Nahi Jagne Ki Saugat Hai Layi
Sal Ki Akhiri Raat Main Jashn Hai Aaj
Sabhi Ko Ho Nav Varsh Ki Badhayi
Phir Khayal Aaya Apne Yaron Ka
Aur Kitni Yaaden Taaza Ho Aayi
Kaise Honge Wo Mujhe Pyar Dene Wale
Yahi Shayad Likhne Ko Kalam Uthayi
Meri Jaan Tu Jo Mujhse Bekhabar Hain
Deewana Hun Main,Pagal Ye Sehar* Hain *City
Main Kya Janu Shaayri Ke Kaide Yaaron
Wo Lafz-E-Radeef, Wo Hii Gazal Kii Behar Hain
Ye Mohbbat Kahan Kisi Ke Liye Asaan Hoti Hain…
Ye Kaisi Hanshi Hain Jo Ro Ro Ke Bayan Hoti Hain…
Badhte Hain Raahi Bekhauf Tufanon Se Hokar..
Dukhte Hain Jhakhm Jab Manjil Aasman Hoti Hain…
Apna Ek Shehar Yaadon Main Bana Lounga
Armaanon Ko Aansuon Se Sajaa Dounga
Kaheen Door Tak Bhahenge Jazbaat Mere
Hasraton Ko Kadmon Main Jagah Dounga
In Rukhe Hathon Main Aaj Koi Tohfa Nahi…
Dil Se Hai Dua Meri Yahi Aapke Naam Hai..
Aapke Janamdin Pe Koun Sa Geet Gaun Main…
Aapke Muskurahat Se Hii Rageen Ye Sham Hai…
Tum Bulaogi Main Naa Aaunga
Door Jab Tumse Chala Jaaunga
Reh Jayenge Kaanpte Surkh Lab
Laali Gaalon Ki Jo Mita Jaunga
Raahein Ye Humein Phir Kahan Le Aayi Hain…
Basi Thii Raunak Jahan, Faili Ab Tanhai Hain…
Ankhoon Main Padhte The Wo Gazlen Meri…
In Sooni Palkon Main Ab Dastan-E-Judai Hain.
Tere Dar Pe Aaya Hun…
Tu Jholi Meri Bhar De…
Ban Sakun Dino Kaa Sahara
Aisa Dil Tu Mera Ker De…
Naa Karo Ey Yaar!, Mere Ghamon Pe Jiraah Ab Koi
Koun Kehta Hain Bacha Nahii Lamha-E-Faraah*Ab Koi
Chal Padi Hain Zindaagi Bhee Taron Ke Khwabi Safar Pe
Pyaar Ke Hasin Jahan Main,Rasta Nahii Betarah*Ab Koi