Ye Jamane Ki Wafaein Mere Kaam Ki Nahi,
Mujhe Unki Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi,
Unki To Ek Muskurahat Bhi Anmol Hai,
Ye Baaki Muskurahate Kisi Kaam Ki Nahi,
Kabhi Kabhi Patthar Ke Takarane Se Aati Nahi Kharoch “Saaya”,
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bhikhar Jata Hai.
Read Full ShayariWo The To Kabhi Waqt Ka Pata Hi Nahi Chalta Tha “Saaya”,
Magar Ab Waqt Ko Guzarne Mein Bahut Waqt Lagta Hai.
Read Full ShayariMein Kuch Dino Se Mushkil Mein Hoon, Sukoon Ek Pal Nahi Mujhko,
Aye Mohabbat Taras Kha Mujh Par, Aye Mohabbat Chhod Jaa Mujhko.
Read Full ShayariPhir Ajnabi Fizaon Se Joda Gaya Mujhe,
Mein Phool Thi So Shaakh Se Toda Gaya Mujhe,
Khushbu Ki Tarah Jeena Bhi Asaan To Na Tha,
Phool Se Katra Katra Nichorra Gaya Mujhe,
Pani Aankh Mein Bhar Ke Laya Ja Sakta Hai,
Ab Bhi Jalta Sheher Bachaya Ja Sakta Hai,
Ek Mohabbat Aur Wo Bhi Nakam Mohabbat,
Lekin Is Se Kam Chalaya Ja Sakta Hai,
Main Bhool Jaon Unhe Ab Yahi Munasib Hai,
Magar Bhulana Bhi Chahon To Kis Tarah Bhulaon,
Ke Wo To Phir Bhi Haqeeqat Hai Koi Khuwab Nahi,
Yahan To Dil Ka Yahi Aalam Hai Kya Kahun,
Shwas Liya Aur Aap Aaye Hridhey Mein,
Aapko To Sada Yahi Rehna Hai,
Antim Samay Bhi Shwas Bhale Atake,
Tab Bhi Apko Alag Nahi Hona Hai,
Tanhai Mein Jab Jab Apki Yaadon Se Milungi,
Mehsoos Yeh Hota Hai Aapko Dekh Sakungi,
Aisa Toh Nahi Hai Ki Aapko Yaad Karu Mein,
Aapko Toh Kabhi Bhi Nahi Mein Bhool Sakungi,
Hoon To Khafa Unnse, Par Jaane Phir Bhi Kyu?
Naa Chaah Kar Bhi Unko Chahna Accha Lagta Hai,
Haqiqat Se Hoon Door, Yeh Mujhko Hai Pata,
Par Jaan Kar Bhi Anjaan Rehna Acha Lagta Hai,