Choti Si Meri Khawaish Aayi Thi Mere Paas
Khil-Khilakar Dilaya Usne Apne Hone Ka Aiehsaas
Itthlakar, Itraakar Ghum Rahi Thi Yahi Kahin Mere Aas Paas
Muskraakar, Sharmaakar Kar Rahi Thi Apni Khushi Ka Iizhaar
Wo Aaj Bhi Hamari Nazro Main Apni Ehmiyat Talaash Rahe Hai
Jinhe Hum Aapna Sab Kuch Bana Baithe Hai
Wo Aaj Bhi Hamari Dosti Hi Hud Tay Kar Rahe Hai
Jinke Liye Hum Dosti Ki Kitni Seemaein Paar Kar Chuke Hai
Zindagi Main Rang Ab Safed-Kaale Reh Gaye,
Shaam-E-Tanhai Aur Gumon Ke Pyale Reh Gaye…
Kis-Kis Se Pyaar Kiya, Kis-Kis Se Pyar Mila,
Haal Puchne Waale Sirf Duniyawale Reh Gaye…
Waqt Bewaqt Teri Yaad Chali Aati Hain
Mehfil Main Hume Tanha Kar Jati Hain
Anjaane Main Sahi Aankh Num Kar Jati Hain
Kuch Kami Hai Zindagi Main Ye Ehsaas Kara Jati Hain
Mere Liye Tum Uas Chaand Ki Tarah Ho
Jise Main Dekh To Sakti Hun
Per Kabhi Use Pa Nahii Saktii
Mere Liye Tum Uss Chaand Ki Tarah Ho
Jiski Taraf Main Haath To Badha Saktii Huon
Per Kabhii Use Chuu Nahii Saktii
Lehron Ka Yu Sahil Se Takrana
Use Apne Wajud Ka Ehsaas Karana
Sahil Ka Chupchap Use Apne Aagos Mein Sametna
Ek Pal Ke Saath Ke Baad, Phir Uske Intzaar Mein Samay Bitana
Kuch Dard Zindagi Ne Diye Kuch Humne Chun Liye…
Ban Gaya Ek Silsila Sa Aur Ye Kabhi Kam Na Hue…
Saans Thami Ya Saans Ruki Per Ye Na Ruke, Befikr Badte Rahe….
Hum B In Main Gum Ho Gaye Aur Ye B Humse Juda Na Huye…