Kis Par Karein Aaitbaar Koi
Yahan Koi Aaitbaar Ke Kabil Nahii Milta
Iss Duniya Mein Dil-E-Pathar Bahut Hain Doston
Magar Kahin Pyaar Bhara Dil Nahii Milta
Ishq Kya Hain?yeh Naa Poocho Aashiqon Se
Ishq Dariya Hain Aur Doob Ke Jaana Hain!
Aastaane-Yaar Pe Rakh De Sar-Kalam Ker Ke
Agar Mohabbat Mein Mehboob Ko Paana Hain!
Sab Kuchh Kho Ker Bhii Phir Kyun,Aaj Talak Zinda Huun Mein
Jo Bhii Kiya Jeewan Mein Meine,Uspe Bahut Sharminda Huun Mein!
Aaj Yahan Pe Kal Wahan Pe, Mera Koi Naa Sangi Sathi Hain
Ghar Naa Mera Koi Gharonda,Aisi Ekk Parinda Huun Mein!
Dard Bhari Zindagi Ka Suraag Dhondte Hai
Hai Andhera Bhut Yaha Ek Chiraag Dhondte Hai
Banaye The Tamsha Zindagi Ko Es Tarh
Ke Un Mherbaano Ka Elaaj Dhondhte Hai
Pehle Mein Chain Se Soya Karti Thi,
Ab Raaton Ko Karvatein Badalne Lagi Hun.
Pehle Mein Sabse Bahut Baatein Kiya Karti Thi,
Ab Chupchaap Rehne Lagi Hun.
Pehle Mein Mehfilon Mein Raha Karti Thi,
Ab Akeli Rehni Lagi Hun.
Shaayri Aur Kavitaaon Ka Shokh Nahi Tha Mujhe,
Par Ab Khud Shaayri Likhne Lagi Hun.
Bagh-E-Watan Mein Ab Bu-E-Mohabbat Naa Rahii
Aadmi Ko Aadmi Kii Zarrorat Ab Naa Rahii!
Paise Ko Ho Gaye Hain Yeh Sabhii Rishte Naate
Dharmo-Imman Kii Koi Hakumat Ab Naa Rahii!
Aapni Zindagi Se Hi Mazaak Kiya Hai Kabhi-Kabhi
Aapni Maut Se Hi Khilwaad Kiya Hai Kabhi-Kabhi
Unse Hue Jo Hum Juda,Unki Nahi Koi Khata
Khud Ko Hi Yeh Ilzaam Diya Hai Kabhi-Kabhi
Jabse Juda Wo Humse Huye
Is Dil Ne Dhadakna Chod Diya
Chaand Ka Muh Kuch Utra-Utra
Phoolon Ne Mehekna Choddiya
Ishq Ka Junoon Jab Chaya Humare Dil O Jaan Par.
Ishq Ka Geet Sar O Sham Gungunaya Karte The .
Jab Hue Unki Chahat Mein Diwane
Hum Saari Duniya Ko Diawana Kaha Karte The.
Karlo Chahe Kitni Bhi Koshish Ye Ishq Na Kabi Marta Hai,
Din Guzrati Hai, Raaten Bit Jati Hai Par Ye Dil Isi Tarah Dhadakta Hai
Karte Hai Kitne Pakke Irade K Chahenge Na Usko Ham,
Par Jab Bhi Tanhai Milti Hai Dil Yaad Usi Ko Karta Hai