Pyar Ki Ek Nazar Mehangi Padi
Yeh Sajha Sari Umer Mehangi Padi
Ghar Sajana Pada Saleeke Se
Unke Aane Ki Kaber Mehangi Padi
Jis Taraf Dekhiye Nafraton Ka Zaher
Ut Raha Hai Dhuwa Jal Raha Her Shehar
Kaise Rahber Unhe Aap Kehne Lage
Cheen Rahe Hai Aman Wo Hamara Agar
Tukhrate Huwe Mere Pyar Ko Nahi Socha Tumne Sanam
Unke Bare Main Jinko Pyar Hi Nahi Mila
Jinki Jeevan Ki Bagiya Sada Sooni Rahi
Jisme Kabhi Koyee Phool Nahi Khila
Be-Sabab Be-Wafa Pehredar Bahut Aaye
Aabaad Chaman Ke Haqdaar Bahut Aaye
Badi Mushkilon Se Mila Hai Sahil
Wafa Ke Dariya Main Majdaar Bahut Aaye
Ek Diwana Matwala
Mere Dil Main Hamesha Rehta Hai
Mujhse Karta Hai Pyar Bhi Woh
Aur Mujhse Hi Aakar Ladta Hai
Mohabbat Ki Rahon Ke Ghar Kam Nahi Hai
Koyi Gam Na Kar Sajna Agar Hum Nahi Hai
Koyi Ranja Nahi Hai Koyi Heer Nahi Hai
Zehar Pilane Gam Ka Woh Meera Nahi Hai
Dil Kisii Se Laga Kar Karoge Bhi Kya
Chain Apna Luta Kar Karoge Bhi Kya
Zindagi Begar Yu Hi Gar Taraste Raho
Sapne Aise Saja Kar Karoge Bhi Kya
Zindagi Ke Labon Per Koyee Paigam Nahi Hai
Apni Kismat Main Chahat Ki Shaam Nahi Hai
Badla Jabse Aadmi Ne Fithrat Ka Chola
Dil Ki Kitab Main Wafa Ka Naam Nahi
Kehta Tha Dilse Chaha Hume
Magar Samne Aane Ki Koshish Nahi Kiya
Kehta Tha “Tere Liye Hu Main Jaan”
Magar Waqt Milan Ka Aaya To Ilzam Laga Diya
Ye Badli Badli Rangat Ye Andaz Kya Kare
Barbadi Ka Apni Aagaaz Kya Kare
Unhe Hoti Hai Humko Rulakar Khushi
Khair Yahi Sahi Unhe Naraz Kya Kare