Ye Badli Badli Rangat Ye Andaz Kya Kare
Barbadi Ka Apni Aagaaz Kya Kare
Unhe Hoti Hai Humko Rulakar Khushi
Khair Yahi Sahi Unhe Naraz Kya Kare
Zindagi Ke Labon Per Koyee Paigam Nahi Hai
Apni Kismat Main Chahat Ki Shaam Nahi Hai
Badla Jabse Aadmi Ne Fithrat Ka Chola
Dil Ki Kitab Main Wafa Ka Naam Nahi
Yu Bhi Jane Ki Zid Na Karo Jaan-E-Mann
Dekh To Lo Yu Hi Kaisi Shakl-E-Chaman
Baad Muddat Ke Aaye Ho Teher Zara
Rok Bhi Lo Sanam Aaj Apne Yeh Kadam
Khijaa.N Hi Khijaa.N Hai
Gulshan Main Ab Kahan Bahar Hai
Jis Ko Pyar Karte Hai
Wo Sanam Us Paar Hai
Zalim Zamane Ne
Kaat Kar Fek Diye Mere Per
Ek Gira Edhar
Aur Doosra Gira Us Paar Hai
Pyar Jalta Hua Ek Ghar Hai Yahan
Zindagi Yaatna Ka Safar Hai Yahan
Hum Andhere Main Kab Se Gire Lad Rahe
Aap Kehte Hai Din-Dopehar Hai Yahan
Footi Aankh Suhate Hai Sawan Ke Rang
Andhe Ko Bhi Lubate Hai Sawan Ke Rang
Bhadke Huwe Armanon Ko Sehlane Pyar Se
Barish Banke Aate Hai Sawan Ke Rang
Dhoop Dal Gayi Aur Julsi Kaaya Reh Gayi
Dhur Jab Se Tum Huye Saat Perchayiyan Reh Gayi
Khile Darkaton Per Kijaan Ke Nishaan Saaf Dekh Lo
Phool-Patte Jhad Gaye Khali Daliyan Reh Gayi
Bandishon Ke Saye Se Nikal Aaye Hai Hum
Mushkil Thi Rah-Guzar Sambal Aaye Hai Hum
Dham Gut Na Jaye Matlabon Ki Hawaon Mein
Isse Pehle Woh Mausam Badal Aaye Hai Hum
Hum Kabhi Kisi Ko Bhool Ke Bhi
Cheena Muskan Nahi Karte
Hum Sakht-Tabiyat Hai Lekin
Bin Baat Tufan Nahi Karte
Hum Andkaar Mein Reh Sakte
Uski Tohkar Bhi Seh Sakte
Per Kiranraaj Ke Dhar Per Jaa
Hum Manga Daan Nahi Karte
Kar Na Sake Hum Pyaar Ka Sauda Keemat Hi Kuch Aisi Thi
Jeeti Baazi Haar Gaye Hum Kismat Hi Kuch Aisi Thi
Koi Na Samjhe Koi Na Jaane Kaisi Yeh Majbbori Hai
Paas Hain Ek Dooje Ke Kitne Phir Bhi Kitni Doori Hai